Monday, December 2, 2019

MUSLIM SALEEM - NAZAM "SAPNON KI RAAKH" 2 - december 2019

MUSLIM SALEEM - NAZAM "SAPNON KI RAAKH"
2 - december 2019
SIRF YAADOON KA AB DHUAAN HAI WAHAAN
SAR PHIRE ISHQ LE CHALAA HAI KAHAAN
MEHKE LAMHON KE WEERAN KHANDAR MAIN
KYA BACHAA HOGA KOI DHUNDLA NISHAAN
GIR CHUKI HAIN YAQEEN KI DEEWAAREN
KHWAAB KA BHI NAHEEN KOI IMKAAAN

SAR PHIRA ISHQ MUJH SE YUN BOLA
MAIN NAHEEN AAP HI HAIN DEEWANE
UN MEN IK DIN SHARAAB UBALTI THI
REZA REZA HAIN AB JO PAIMAAANE
RAAKH SAPNON KI QEEMTI HAI BAHUT
JIS KI DAULAT HAI YEH WAHI JAANE

Sunday, November 24, 2019

MUSLIM SALEEM - 24 NOVEMBER 2019 TAQDEER KI MUJH SAY YUNHEEN TAKRAAR CHALEGI

MUSLIM SALEEM - 24 NOVEMBER 2019
TAQDEER KI MUJH SAY YUNHEEN TAKRAAR CHALEGI
MAIN SAAYE MAIN BAITHOONGA TO DEEWAR CHALEGI
TAQDEER PE UNGLI KOI HARGIZ NA UTHHAYE
KIS SAMT HAWAA KYA KHABAR IS BAAR CHALEGI
HAAKIM HAI TOU JO CHAHE WOH QANOON BANAA LE
IS DIL PE MAGAR MARZI-E-DILDAAR CHALEGI
KHUL KAR NAHEEN KEHTE NA KAHO SHARM KAY BAA'IS
IK HOON BHI TUMHARI MIRE SARKAAR CHALEGI
MASHOOR HAI AB MERI TUMHARI YEH KAHAANI
IQARAAR KARO YAA KARO INKAAR CHALEGI

Friday, November 15, 2019

MUSLIM SALEEM KO TAHIR TARAASH KA NAZRANA


MUSLIM SALEEM KO BHOPAL KE UBHARTE SHAIR TAHIR TARAASH KA NAZRANA

ANDAZ SHAIRANA HAI MUSLIM SALEEM KA

HAR SHER QATILANA HAI MUSLIM SALEEM KA

KARTE HAIN RAQS UNKE ISHAARE PE QAAFIYE

LAFZON KA SHAMIYANA HAI MUSLIM SALEEM KA

Thursday, November 7, 2019

MUSLIM SALEEM - 7 NOVEMBER 2019 CHAL PADAY HAIN NAI RAAH PE

MUSLIM SALEEM - 7 NOVEMBER 2019
CHAL PADAY HAIN NAI RAAH PE MIL KE HAM, PEECHHE MUD KAR NAHEEN DEKHNA AB HAMEN
LOG KEHTE HAIN JISKO RAH E BE-KHUDI, MIL GAYA HAI WAHI RASTAA AB HAMEN
WASL KA HAI SAMAAN, JHOOM UTHHA AASMAAN, AAJ MANZIL PE HAI ISHQ KA KARWAAN
AY CHAMAN KHUSHBU'ON SE HAMEN GHUSL DE, AY SABA TU TARAANE SUNA AB HAMEN
AISA LAGTA HAI DONON KI TAQDEER KO EK HI LAUH PAR HAI TARAASHA GAYA
JAB KHUDA KI BHI MARZI YAHI HAI TOU PHIR, KOYEE KAR PAYEGA KYA JUDA AB HAMEN
PEHLE TANHAA THAY AB MUTTAHID HO GAYE, BAAL BEEKA NA KAR PAYEGA AB KOI
AANDHIYO AUR TOOFANO SUN LO ZARAA, MIL GAYA HAI NAYA HAUSLA AB HAMEN
BAAT FIRQON KI HARGIZ NA KOI KARAY. MASLAKON KA BHI AB TAZKIRA KUCHH NA HO
JANM SE TOU HAIN MUSLIM MAGAR AY KHUDAA TU MUSLAMAN SACHCHA BANAA AB HAMEN

Saturday, November 2, 2019

MUSLIM SALEEM - BIRTHDAY - NOVEMBER 1

MUSLIM SALEEM - BIRTHDAY - NOVEMBER 1
UMR KA EK AUR SAAL GAYA
JISM BHI JAANIB E ZAWAAL GAYA
KYUN MANAATE HAIN JASHN E SAAL GIRAH
KYA KABHI IS PE BHI KHAYAL GAYA?

Monday, October 14, 2019

MUSLIM SALEEM - JHEEL SI USKI ANKHON MAIN DEKHA

MUSLIM SALEEM - 14 OCTOBER 2019
JHEEL SI USKI ANKHON MAIN DEKHA
HO GAYE GHARQ CHAHON MAIN DEKHA!
JASHN HAI DIL KI MEHFIL MAIN JAB SE
IK ISHARA NIGAHON MAIN DEKHA
ANKH SE USKO DEKHA THA IK PAL
PHIR TOU DHADKAN MAIN, SANSON MAIN DEKHA
KHUSH NASEEBI HAMARI HAI CHHAT PAR
CHAND KO KAALI RAATON MAIN DEKHA
DIL KI HASRAT NE JANNAT NAZAARA
NAAZ NAKHRON MAIN GHAATON MAIN DEKHA

Sunday, October 13, 2019

MUSLIM SALEEM .....MOB LYNCHING

MUSLIM SALEEM .....MOB LYNCHING
KAISA INSAF, KAISI ADALAT
HAI PATAA AUR PATAA HI NAHEEN
BHEED NE MAAR DAALA KISI KO
JURM KOI HUAA HAI NAHEEN

Ghazal ... TU NAHEEN, RAASTA HI NAHEEN ....Muslim Saleem

MUSLIM SALEEM - 13 OCTOBER 2019
TU NAHEEN, RAASTA HI NAHEEN
AB KAHEEN KUCHH BACHAA HI NAHEEN
DIL DIWANA HAI TERE SIWA
AUR KUCHH DEKHTA HI NAHEEN
AAP JAISE HAIN, IS ZINDAGI MAIN
KOI AISA MILA HI NAHEEN
AAJKAL WO KHATAAKAR HAI
JISKI KOI KHATA HI NAHEEN
DIL TIRI RAAH MAIN DAT GAYA HAI
HAT HAI AISI, HATAA HI NAHEEN
HAR TARAF SE DABAAO THA BHAARI
PHIR BHI MUSLIM DABAA HI NAHEEN

Saturday, October 12, 2019

ASLAM MIRZA'S COMPREHENSIVE STUDY OF SIRAJ AURANGABADI IN HINDI By Muslim Saleem


ASLAM MIRZA'S COMPREHENSIVE STUDY OF SIRAJ AURANGABADI IN HINDI
By Muslim Saleem
Aslam Mirza is great writer and poet of India based at Aurangabad. He has scored innumerous

books in Urdu. This is for the first time he has compiled a book in Hindi to help Hindi people

understand the value and greatness of Siraj Aurangabdi's kalaam. Siraj, a sufi saint of 18th

century, was one of the pillars of modern Urdu after Wali Deccani. Aslam Mirza has taken pains

to write meanings of difficult Urdu words in Hindi with every ghazal, which is highly

commendable and will help Hindi readers to grasp meaning and mood of ghazals.
Pages 203
Price: Rs 300
Publisher
Mirza World Book House,
Hameed Complex, Qaisar Colony,
Aurangabad-431001
Mob: 0932503227

Sunday, October 6, 2019

Hamne khud apna khoon piya hai mat poochho---Muslim Saleem

MUSLIM SALEEM SIX OCTOBER TWENTY NINETEEN
Hamne khud apna khoon piya hai mat poochho
Kitni mehngi dil ki dawa hai mat poochho
Dekh lo tum aamaal hamare aur samajh lo
Hamse kyun naraaz Khuda mat poochho
Chhed ke ik din shokh haseen ko dekho tou
Aandhi hai ya baade saba hai mat poochho
Dhool udaao thodi si phir jaanoge
Kis rukh par kid samt hawa hai mat poochho
Asl ye hai Muslim ki wajhe naakami
Amal naheen aur lab pe dua hai mat poochho

Thursday, September 19, 2019

INSAAF HAI YEH KAISA, KAISI YEH ADALAT HAI

MUSLIM SALEEM - 17 SEPTEMBER 2019
INSAAF HAI YEH KAISA, KAISI YEH ADALAT HAI
ZAALIM KI HIMAYAT HAI, MASOOM KI AAFAT HAI
AB MULK MAIN MAHFOOZ NAHEEN KOI IDAARA
JAMHOORI USOOLON KI HAR SAMT HALAAKAT HAI

Tuesday, September 10, 2019

Nazr e Imam Hussain AS on 10 Muharram


Muslim Saleem
kuchh is tarah se mitaaya hai naam zaalim ka
ke door door bhi uska asar naheen milta
Hussain naam ke mil jaate hain hazaaron log
Yazeed naam ka koi bashar naheen milta

Sunday, July 21, 2019

IS DAUR MAIN MILAWATI KITNA KHULOOS HAI

MUSLIM SALEEM - 21 JULY 2019
IS DAUR MAIN MILAWATI KITNA KHULOOS HAI
AADHI HAI CHALBAZI TO AADHA KHULOOS  HAI
ALLAH US HASEEN KO RAKKHE PANAAH MAIN
DUNIYA KI ZAD PE EK KUNWARA KHULOOS HAI
LUTATA HOON BAAR BAAR MAIN SAB JAAN BOOJH KAR
MAIN KYA KAROON K MERA TAREEQA KHULOOS HAI

Saturday, July 20, 2019

MAIN CHOOM LOON INHEN MUJH KO YEH KAAM KARNE DE

MUSLIM SALEEM 20 JULY 2019
MAIN CHOOM LOON INHEN MUJH KO YEH KAAM KARNE DE
TIRE LABON KA MUJHAY IHTIRAAM KARNE DE

Friday, July 19, 2019

PAAR HAM HADDE MAHABBAT AAJ HI KAR JAYENGE

MUSLIM SALEEM - 19 JULY 2019
PAAR HAM HADDE MAHABBAT AAJ HI KAR JAYENGE
AAPKA KYA HAI KISI DIN BAYRUKHI KAR JAYENGE
CHHED MAT GUSTAKH HONTON KO HAMARE WARNA YE
TERE CHEHRE PAR KOI MANZAR-KASHI KAR JAYENGE
POOCHH MAT HAR IK SE RASTA WARNA KUCHH AISE BHI HAIN
REHZANON KE GHAR KI JAANIB RAHBARI KAR JAYENGE
HAI YAQEEN HAMKO KE USKE KHANKHANAATE SE KHAYAAL
HONGE HAM GHAMGEEN TOU AAKAR GUDGUDI KAR JAYENGE
HAAR ZAALIM SE MAANEGE, DARA DENGE USAY
KUCHH NAHEEN TOU IK SADAA HI ZOR KI KAR JAYENGE