Friday, May 31, 2013

Ghazal - Muslim Saleem - May 31, 2013

Tuesday, May 28, 2013

Muslim Saleem – Seh ghazla – May 25, 2013

MOHABBAT FORUM KAY 25 MAY KAY TARHI MUSHUARE KAY LIYE MUSLIM SALEEM KA SEH GHAZLA. MISRA-E-TARAH “UBAR RAHI HAI CHIRAGHON MEIN PHIR CHAMAK KOI”

NA KUCHH MIZAJ MEIN NARMI, NA HAI LACHAK KOI
TO UNKAY SAATH CHALE KAISAY DOOR TO KOI
THI LA-SHAOOR MEIN AAHAT KISI KAY QADMAON KI
PALAT KAY DEKHA, NA THA DOOR-DOOR TAK KOI
WO SIRF YAAD THI, LEKIN SHADEED THI ITNI
KAY JAISAY AA GAYA PEHLOO MAIN YAK-BAYAK KOI

TRIBTE TO MUSLIM SALEEM BY NADEEM AKHTAR NADEEM

TRIBTE TO MUSLIM SALEEM BY PIRZADA NADEEM AKHTAR NADEEM MANGANAVI, LONDON.
URDU ME AIK NAAM HaY MUSLIM SALEEM KA
JIDDAT GHAZAL ME KAAM HAY MUSLIM SALEEM KA.
  • Syed Zia Rizvi URDU ADAB MEn BARHA NAM HAI MUSLIM SALEEM KA.SAHAFAT MEn BARHA MUQAM HAI MUSLIM SALEEM KA.URDU ZUBAN KI BAQA KE LIYE BARHA KAM HAI MUSLIM SALEEM KA. XUDAWAND KAREEM UNHEn AUR UNKI FAMILY KO APNI HIFZ-O-AMAAN MEn RAKHE.SHAD AUR ABAAD RAKHE AMEEN SUM AMEEN.

Muslim Saleem - Ghazal - May 25, 2013

Thursday, May 23, 2013

Thursday, May 16, 2013

ZIA ROOMANI ON MUSLIM SALEEM



(Noted short-story writer and vice-principal of Al-Ameen Dr. Mumtaz Ahmed Khan PU College, Kolar, Karnataka (India) has lauded Muslim Saleem’s service to Urdu and his poetry in following words)
      Mohtarmi Muslim Saleem ki shakhseeyat jab bhi yaad aati hai labon pey alfaz machal jathey hain: "Muslim Saleem saheb to ek anmol tehreek, musalsal jadd-o-jahad, khaerkhwah-e-qaum-o millat aur wafashuar khadim-e-Urdu zaban ka naam hai."
      Apne mehdood dayera-e-alfaz meiN maiN ney Muslim Saleem sahib ki shakhseyat ka ehata kiya hai. Dar asl meri nazer may mausoof aur bhi bahuth kuch hain. Yeh to apni janib say unkay har'ruf ki mehez tamheed hai jo 'suraj ko charagh dekhaney' kay misdaq hai.
    Yeh Allah he ki hikmat hai jo woh jis tarha aasman per taron ko saja kar ek purnoor sama'N bandh detha hai. Isie tarha zamen per muqtalif nazaray pesh keiey, her zamaney may kuch hastheyon ko paida keya jin say dunyan may raunaq saji hai.

Wednesday, May 8, 2013

Muhsin-e-Urdu zabaaN Muslim Saleem by Dr. Barqi Azmi

iN RESPONSE TO AHMAD ALI KHAN’S FACE BOOK COMMENT, GREAT POET DR. AHMAD ALI BARQI AZMI HAS WRITTEN POETIC TRIBUTE FOR MUSLIM SALEEM.
Qaul hai Ahmad Ali Khan ka durust
HaiN adeeb e khush bayaaN Muslim Saleem
Urdu ki tarveej meiN sargarm haiN
Muhsin e Urdu zabaaN Muslim Saleem
Fikr o fun se apne haiN har dil azeez
Shair e jadoo bayaaN Muslim Saleem
MaiN hooN un ki kavishoN ka qadrdaaN
HaiN Mere bhi qadr daaN Muslim Saleem
HaiN sepahr e shairi par zau fishaan
Aaj misl e kahkashaaN Muslim Saleem
Mahfil e Sher o Sukhan meiN kyoN na hoN
Marja e danishwaraaN Muslim Saleem
Har mission meiN apne hoN Barqi sada
Kamyab o kaamraaN Muslim Saleem
**************************************
FOLLOWING IS THE COMMENT OF AHMAD ALI KHAN AND MUSLIM SALEEM’S REPLY.
We, the Indian are fortunate enough to have in our country such an Illustrious personality of Global fame in Urdu World who already got the recognition as an established Urdu Poet as well as a Writer in-depth by the World Literary Forum…..contributing a lot in a row to its Nation’s aspirants of same stream (He is a subject matter and an Expert himself on Journalisn & Urdu Literature) honouring by his visits on so many Occasions as a panelist at Seminars, Conferences and intellectuals get-together party…It’s more sensible to say as a Chief Guest on the dais of Bazme-Mushayra….May Almighty (Allah) bless him a longer and a safer life….!
Writer

  • Reply by Muslim Saleem
    Ahmad Ali Khan sb. Assalamo Alaikum. What you have said is like a great award for me. I am indebted to you for these observations without meeting me once. I am glad that Urdu is in safe hands of young people like you. Hats off to you.