Wednesday, August 28, 2013

Muslim Saleem’s unparalled services Urdu by Dr. Shahzad Rizvi (Washington)



It would be appropriate to call Mr. Muslim Saleem the second father of Urdu, Maulvi Abdul Haq being the first one. Maulvi Abdul Haq had rendered great service to Urdu in pre-internet era. In the same manner,  Mr. Saleem is rendering similar services to Urdu in this era of information technology and internet.

Wednesday, August 21, 2013

Zia Shahzad Shahzad’s poetic tribute to Muslim Saleem’s ghazal

’’ مبارک ہو، بہت عمدہ ، غزل اچھی کہی مسلم
بہت دن بعد ایسی شاعری میں نے پڑھی مسلم
غزل کا مصرعہ اولیٰ نیا ہے اور نرالا ہے
حقیقت مصرعہ ثانی میں کیسی ہے چھپی مسلم

‘‘ بھائی مسلم سلیم ! بہت ہی غضب کی شاعری ہے ، میں بہت متاثر ہوا ۔ ۔۔ اللہ کرے زور قلم اور ہو زیادہ
Mubarak ho, bahut umda, ghazal achhi kahi Muslim
Bahut din baad aisi shairi main nay parhi Muslim
Ghazal ka misara-e-oola naya hai aur nirala hai
Haqeeqt misra-e-saani main kaisi hai chhupi Muslim
Meri Ghazal mundarja zail hai
Muslim Saleem …….ghazal
KHUDA SAY MAANGNAY HAR IK TAMANNA SAATH LE AYAA
WO MASJID MAIN BHI JAB AAYA TO DUNIYA SAATH LE AYAA

Tuesday, August 20, 2013

Barqi Azmi on Muslim Saleem on a photograph

Main hooN Muslim Saleem ka maddah
Jin ki ghazleiN hai fikr o fun ka kamal
Bazm e Bhopal meiN haiN woh shamil
Jis ki raunaq hain ahl e fazl o kamal

Sunday, August 18, 2013

Ek qata – be-kaar saa – baqal khud – Muslim Saleem

Kuchha na paaya, muft ka sauda kiya
Log kehte hain yeh ham nay kya kiyaa?
Thee yeh ek be-kaar si shai jism main
Dil kisi ko de diya achha kiya

Ek qata - be kaar saa

Saturday, August 10, 2013

EID MUBARAK: ASHIQ KI EID BY MUSLIM SALEEM

JO AAP KI KHATIR HUI TANQEED, MUBARAK
DO BAARA NAHEEN MILNAY KI TAKEED, MUBARAK
DUSHNAAM PE, JHIDKI PE HAMAARA YEH AMAL HAI
HAR HAAL MAIN KEHTE HAIN YAHI, EID MUBARAK

EK QATA - MUSLIM SALEEM

SHER KEHTE HAIN JIS HASEEN KE LIYE
SAB SAY PEHLE USAY SUNAATE HAIN
JAB WOH KEH DE KE HAAN BAHUT ACHHA
KHOOB DUNIYA SAY DAAD PAATE HAIN

GRAPHICS BY HARIS BILAL

Naujawan ki Id: Muslim Saleem

JASHN-E-ULFAT KA INTIZAAM KIYA
ID KA AISE IHTIMAAM KIYA
CHHAT PE JAATE HI BUS YE KAAM KIYA
ID KAY CHAND KO SALAAM KIYA
(Graphics by Haris Bilal)

Friday, August 2, 2013

GHAZAL - AUGUST 1, 2013 - MUSLIM SALEEM



TAB MAZA KUCHH AUR HI HOTA HAI MAKHMAL YAAD KA
SAR PE JAB SAAYA FIGAN HOTA HAI BADAL YAAD KA
JAAN-O-DIL MAIN JAB MAHAKUTHHTA HAI SANDAL YAAD KA
SO GHAMON KO DOOR KAR DETA HAI IK PAL YAAD KA
WAADI-O-DASHT-O-CHAMAN MAIN LE KE PHIRTE HAIN HAIN
RELA DEEWANI HAWAA KA, ZORE PAGAL YAAD KA
HO GAYE NAKAAM SAB DIL-BASTAGI KE MASHGHALE
SILSALAA THAMTAA NAHEEN USKI MUSALSAL YAAD KA
IK AJAB AALAM HAI MUSLIM KYA KAHEN, KIS SE KAHEN
DOOR TAK BUS HUM HI HUM HAIN AUR JANGAL YAAD KA