Monday, December 31, 2018

MUSLIM SALEEM ...KHWAB KI SARZAMEEN ...NAYA SAAL MUBARAK

MUSLIM SALEEM ...KHWAB KI SARZAMEEN ...NAYA SAAL MUBARAK
THODI KAANTON BHARI AUR KUCHH MAKHMALEEN
AISI JADOO'EE DUNIYA KAHEEN BHI NAHEEN
REH KE DUNIYA MAIN PAHUNCHA DE ARSH E BAREEN
KHWAAB KI SARZAMEEN, KHWAAB KI SARZAMEEN

AAFAT E JAAN KABHI HAI TOU RAHAT KABHI
WASL E MEHBOOB AUR US SAY FURQAT KABHI
LAMS SE BAYRUKHI AUR IJAAZAT KABHI
KHWAAB KI SARZAMEEN, KHWAAB KI SARZAMEEN

JAAGTA SO KAY BHI DIL KAA ARMAAN TOU HAI
HAATH MAIN USKI ZULF E PAREESHAN TOU HAI
KUCHH BHI HO DIL BAHALNAY KA SAAMAAN TOU HAI
KHWAAB KI SARZAMEEN, KHWAAB KI SARZAMEEN

BHOOL JA RANJ O GHAM, MAT PARESHAN HO
JIS KI AGHOSH MAIN RAAHAT E JAAN HO
CHALIYE AISI JAGAH JIS MAIN IMKAAN HO
KHWAAB KI SARZAMEEN, KHWAAB KI SARZAMEEN

CHAND SAA;AT SAHI DAF E AALAAM HAI
BAYKASON KE LIYE EK IN'AAM HAI
FAIZ-YAAB IS SE HAR KHAS AUR AAM HAI

IS MAIN MILTAY TOU HAIN MAAH RUKH, MAH-JABEEN
YE TAMASHA MAGAR HAMKO BHAATA NAHEEN
SUBH HOTAY HI CHHAT JAYEN MANZAR HASEEN
KHWAAB KI SARZAMEEN, KHWAAB KI SARZAMEEN

Sunday, December 30, 2018

MUSLIM SALEEM - IS LIYE THODI BHI DILCHASPI NAHEEN TAABEER MAIN

MUSLIM SALEEM - 30 DECEMBER 2018
IS LIYE THODI BHI DILCHASPI NAHEEN TAABEER MAIN
HAM HI HAM BAS HUKMRAAN HAIN KHWAB KI JAGEER MAIN
KUCHH AMAL MAIN MUNHAMIK HAIN AUR KUCHH TADBEER MAIN
IS SE SAB ANJAAN HAIN LIKHKHA HAI KYA TAQDEER MAIN
CHAASHNI LAFZON KI BHI HO GUFTUGOO KE SHEER MAIN
SOORATEN ACHHI SAHI, ACHHI BHI HON TASEER MAIN
RAUSHNI KE WO KHAZAANE HAIN TIRI TASWEER MAIN
HAM ANDHERE SE NIKAL KAR AA GAYE TANVEER MAIN
MANZILEN TOLEN GI USKO IZZAT O TAUQEER MAIN
SHART HAI JOSH E JUNOON BAS SEENA A RAHGEER MAIN
JAANE KIS KE PHOOL JAISE HAATH NE LIKHKHI HAI YE
BHEENI BHEENI MAST SI KHUSHBOO HAI IS TAHREER MAIN
AHANI KADIYON KO BESHAK TOD SAKTA THAA MAGAR
BAANDH KAR RAKHKHA HAI US NE PYAAR KI ZANJEER MAIN
ISHQ SACHCHA HAI HAMAARA DEKH LENA EK DIN
AAG ULFAT KI LAGAA DENGE DIL E BAYPEER MAIN
CHAND TINKE PYAAR KE JUD JAYEN TOU AI DOSTO!
UNKO PHIR BIKHRA DE YE TAQAT NAHEEN SHAHTEER MAIN
JAZBA E MUSLIM HAI LAA FAANI, BAQAA KO MAAT DE
KAAT KUCCH AISI NAHEEN DUNIYA TIRI SHAMSHEER MAIN
 

 

Sunday, December 23, 2018

Muslim Saleem - 23 December 2018 Suraj ke saath saath wo rehta safar main hai

Muslim Saleem - 23 December 2018
Suraj ke saath saath wo rehta safar main hai
Deewar hai thami hui saaya safar main hai
Milta hai koi gar tou bichharta bhi hai koi
Rishton ka ik ajeeb tamasha safar main hai
Khidki se bus ki dhikti hai hat shai rawan dawan
Bachcha samajh raha hai ke duniya safar main hai
Manzil kab aa gayee naheen lagta hai kuchh pataa
Saathi koi haseen jo milta safar main hai
Duniya hai tere qadmon main ghar se nikal ke dekh
Pal pal taraqqiyon ka ishaara safar main hai
Tu ruk gaya tou Kya hua Muslim Zara ye dekh
Gardish main hai zameen zamana safar main hai

Friday, December 21, 2018

MUSLIM SALEEM - EK MUSHKIL GHAZAL

MUSLIM SALEEM - EK MUSHKIL GHAZAL
IDHAR BOLI UDHAR BOLI YAHAN BOLI WAHAN BOLI
KHULI IK BAAR TOU AISE ZABAN E BAY-ZABAN BOLI
GALA JAB GHUT GAYA TOU PHIR TAH E NOK E
SINAAN BOLI
HAZARON HASRATON KE SAATH CHASHM E NEEM-JAAN
BOLI
SAR E MAQTAL BHI SACHCHAI KI AISI SURKH-ROOI THI
HAQEEQAT AASHNA THI AUR HAQEEQAT KA BAYAN
BOLI
KHIRAD WAALO! JUNOON E ISHQ KE NAQSH E QADAM
CHOMO
HAMARI PUSHT PAR ISTADA GARD E KARWAAN BOLI
KIYE WOH WAR HAIBAT-KHEZ KE SHAMSHEER DUSHMAN

KI
HAMARE SAAMNAY SAR KO JHUKA KAR AL-AMAAN BOLI
ZAMANA CHHOD DAY LEKIN MAIN TERAY SAATH HOON
MUSLIM
HUAY TANHA TOU HAM SAY YUN HAMARI DASTAN BOLI

Thursday, December 20, 2018

MUSLIM SALEEM - 19 DECEMBER 2018 YE AUR KUCHH NAHEEN, KHUSH-SUHBATI KA JADOO HAI

MUSLIM SALEEM - 19 DECEMBER 2018
YE AUR KUCHH NAHEEN, KHUSH-SUHBATI KA JADOO HAI
BADAN MAIN KHAAR KE PAIWAST GUL KI KHUSHBOO HAI
NIZAAM E ADL KA ZAALIM SE WAASTA HAI KOI
JHUKA HUA USI JAANIB HI KYUN TARAZOO HAI
QABAA HAI JISKI SANI KHOON E AADMEEYAT SAY
NAHEEN HAI BHIKSHOO, MAYANMAR KA HALAAKO HAI
SAMBHAL KE REHNA AGAR DOSTI HI KAR LI HAI
YE DANK MAARAY GA IK ROZ KYOONKE BICHH-CHHOO HAI
KARISHMA-SAAZI SIYASAT KI HAI YE AI MUSLIM
KE BAYEN BAZOO KAY HAMRAAH DAYAN BAZOO HAI

Monday, December 17, 2018

MUSLIM SALEEM - 16 DECEMBER 2018 TERI TA'EED SA KHUDA! HAM NAY

MUSLIM SALEEM - 16 OCTOBER 2018
TERI TA'EED SA KHUDA! HAM NAY
WO JO MUMKIN NA THAA KIYA HAM NAY
ARSH SAY PAYI JAB SHAFA HAM NAY
FARSH PAR PHENK DI DAWA HAM NAY
BAAT KARTI THEEN ASHK-BAAR ANKHEN
YUN KYA ARZ MUDDA'A HAM NAY
HAR QADAM PAR SHIKAST KHAANE KA
RAKH DIYA NAAM HAUSLA HAM NAY
WO JAFA HAI JO US NAY KI HAI JAFA
WO WAFA HAI JO KI WAFA HAM NAY KI

Friday, November 30, 2018

MUSLIM SALEEM - HAMAARE PAAS BHI AURAQ HAIN KUCHH

MUSLIM SALEEM - 30 November 2018
HAMAARE PAAS BHI AURAQ HAIN KUCHH
ALAM YE HAI KE NAZR E TAAQ HAIN KUCCH
IBAADAT KARNE WAALE HAIN KARORON
MAGAR HAAN AARIF E KHALLAQ HAIN KUCHH
NIZAM O SABIR O KHWAJA HAIN MARJA'
WO SHAKHSEEYAT JO CHIQMAAQ HAIN KUCHH
NAI NASLO! SUNO! MAIRAY SUKHAN MAIN
TUMHAARE WAASTE ASBAAQ HAIN KUCCH
GIRAAN HAIN QARZ-HAA-E ZINDAGANI
ABHI BAAQI HAIN KUCCH, BEBAAQ HAIN KUCCH

KHALLAQ: KHUDA, CHIQMAAQ: MAGNET, ASBAAQ:

LESSONS

Tuesday, November 27, 2018

MUSLIM SALEEM - MAANA KE SITARON SE MULAQAAT NAHEEN HAI

MUSLIM SALEEM - 27 NOVEMBER 2018
MAANA KE SITARON SE MULAQAAT NAHEEN HAI
MAIN CHAND SE MILTA HOON, KOI BAAT NAHEEN HAI
THUKRAA DOON MAHABBAT KA AGAR SAATH NAHEEN HAI
HAI PYAR MIRA HAQ KOI KHAIRAAT NAHEEN HAI
IMAAN KA NAGAR WAADI E ZULMAAT NAHEEN HAI
SACH DIN KI WO BASTI HAI JAHAAN RAAT NAHEEN HAI
MAT JAAN KE AB BAAZI MIRAY HAATH NAHEEN HAI
SHEH DI HAI ABHI US NAY KOI MAAT NAHEEN HAI
MATLAB KAY JAWANI SE JAWANI KE HAIN RISHTE
HAI GARMI E KHOON GARMI E JAZBAAT NAHEEN HAI

Friday, November 23, 2018

MUSLIM SALEEM - 23 NOVEMBER 2018 ZARDAAR HUA JAB SE, WO ZAR DHOONDH RAHI HAI

MUSLIM SALEEM - 23 NOVEMBER 2018
ZARDAAR HUA JAB SE, WO ZAR DHOONDH RAHI HAI
DUNIYA MIRE AIBON MAIN HUNAR DHOONDH RAHI HAI
JIN MAIN HO MAHABBAT KI BHADKATEE HU'EE DAWAT
BETAAB NIGAHON KO NAZAR DHOONDH RAHI HAI
HAI NASL NAYEE, SUBHA KO IK PED LAGAYA
AUR SHAM KO SAKHON PE SAMAR DHOONDH RAHI HAI
AKHBAR HAIN CHUP, TV HAI KHAMOSH, YE JANATA
JO SAB KO PATA HAI WO KHABAR DHOONDH RAHI HAI
GUMNAM SA SHAIR HAI JISE KEHTE HAIN MUSLIM
KYA KAHIYE USAY AAJ KHABAR DHOONDH RAHI HAI

Tuesday, November 20, 2018

MUSLIM SALEEM - IK KAIF TILISMAATI DAR O BAAM PE UTRE

MUSLIM SALEEM - 20 NOVEMBER 2018
IK KAIF TILISMAATI DAR O BAAM PE UTRE
GAR AKS E PARI-CHEHRA MIRE JAAM PE UTRE

SURAJ TOU DHALAA AB HAI FAQAT TERA SAHAARA
AA JAA KE UJAALON KI KIRAN SHAAM PE UTRE

HAI ZAHN KI SARHAD PE TIRI YAAD MUHAFIZ
KYUN QAFILA E GHAM DIL E NAAKAM PE UTRE

KUCCH TUM BHI GAREBAAN MAIN ZARA JHAANK KE

DEKHO
KYA HO GAYA AISA KE HAM ILZAAM PE UTRE

JAB MUJH SA GUNEH-GAAR HUA AAZIM E TAIBA
RAHMAT KO FARISHTE LIYE HAR GAAM PE UTRE

Tuesday, October 9, 2018

Muslim Saleem ...9 October 2018 Jo muddat baad pesh e aaina hoon


Muslim Saleem ...9 October 2018
Jo muddat baad pesh e aaina hoon
Main apne aap se kaafi juda hoon
Main sheeshe ka bayan jhutlaaoon kaise
Idhar main hoon udhar saaya dikha hoon

Monday, October 8, 2018

MUSLIM SALEEM - 10 OCTOBER 2018 JAB ANDHERE MAIN WO CHHAT PE AATI NAHEEN

MUSLIM SALEEM - 10 OCTOBER 2018
JAB ANDHERE MAIN WO CHHAT PE AATI NAHEEN
CHANDNI BHI KAHEEN MUSKURATI NANEEN
US KE RUKH SAY PALAT KAR JO JAATI NAHEEN
AASMAN PAR DHANKAK RANG PAATI NAHEEN
KOI AAYA HAI SEHN E GULISTAN MAIN
WARNA BAAD E SABA GUNGUNATI NAHEEN
MUTTALA KHAIRIYAT SE JO KAR DETE TUM
GHAM GHULAATA NAHEEN FIKR KHATI NAHEEN
SHAMIYANA SITARON KA BAY-NOOR HAI
BIN TIRE YE FAZA JAGMAGATI NAHEEN

Thursday, October 4, 2018

MUSLIM SALEEM - REHZANI RAAHBAR HO GAYEE HAI

MUSLIM SALEEM - 4 OCTOBER 2018
REHZANI RAAHBAR HO GAYEE HAI
YE PURANI KHABAR HO GAYEE HAI
JAB SAY UNKI NAZAR HO GAYEE HAI
HAR DAWA KARGAR HO GAYEE HAI
BAY-BASI PUR-ASAR HO GAYEE HAI
BAY-KASI CHARAGAR HO GAYEE HAI
JAB SAY BADLI HAI AADIL KI NEEYAT
HAR KHATA MU'TABAR HO GAYEE HAI
AAGE AANI HAI WAADON KI DALDAL
RAAH AB PUR-KHATAR HO GAYEE HAI
AAPKA SAATH PAAYA TOU JAISE
RAUSHNI HAMSAFAR HO GAYEE HAI

MUSLIM SALEEM - SCIENCE SE HAQEEQAT E BISMIL KO DEKH LAY

MUSLIM SALEEM - 22 September 2018
SCIENCE SE HAQEEQAT E BISMIL KO DEKH LAY
POSHEEDA CAMERE SE MIRE DIL KO DEKH LAY
INSAF O ADL KARNA DILERON KA KAAM HAI
ZALIM KO DEKHNA HAI TOU BUZDIL KO DEKH LAY
RAHON MAIN JIS NAY KHAR BICHAAYE QADAM QADAM
AB KHUD SHIKAST KHURDA HAI, MANZIL KO DEKH LAY
IZHAR E HAQ HAI EK BADA JURM AAJKAL
MUNH KHOLNAY SAY PEHLE SALAASIL KO DEKH LAY
KYUN AUR KAISE HOGA QAYAMAT KAY BAAD HASHR
GAR DEKHNA HAI, YAR KI MEHFIL KO DEKH LAY

MUSLIM SALEEM - HINDUSTAN KI VEERAN MASAAJID KO DEKH KAR EK TAASSUR

MUSLIM SALEEM - HINDUSTAN KI VEERAN MASAAJID 
KO DEKH KAR EK TAASSUR - 20 SEPTEMBER 2018
KAR KAY KITNI MASAAJID KO VEERAN GAYE
HINDUSTAN KO CHHOR KAY PAKISTAN GAYE
MASNAD, DAULAT AUR JANON KI QEEMAT PAR
TEEN KE SHEDON MAIN BAN KAR MEHMAN GAYE
QUAM ILAAQE SE HOTI HAI, DEEN SAY NAHEEN
BAN KAY MUHAJIR, QAUMON KO PEHCHAN GAYE
MAALIK NAY TOU BAKHSHA THAA KUL MULK HAMAIN
KIS KAY DAR SAY SHAIKH AUR MUGHAL PATHAN GAYE
AAJ BHI HINDUSTAN MAIN MUSLIM ZINDA HAI
TUM GHABRA KAR DIL MAIN LIYE HAIJAN GAYE
BEGUMSARAI MASJID, DELHI PICTURE COURTESY
‎Masroor Hasan Siddiqi‎

MUSLIM SALEEM - 13 SEPTEMBER 2018 (nazr e Imam (AS)


MUSLIM SALEEM - 13 SEPTEMBER 2018 (nazr e Imam (AS)
KIRDAR MAIN GHULAY GI SHABAHAT HUSSAIN (AS) KI
DIL MAIN BASAA KE DEKH MAHABBAT HUSSAIN (AS) KI
IMAAN KI BAQAA HAI SHAHADAT HUSSAIN (AS) KI
RAKKHEN GE HAM BACHA KE YEH DAULAT HUSSAIN (AS) KI
DHUNDHLI NAHEEN PADEGI AQEEDAT HUSSAIN (AS) KI
ISLAM PAR CHARHI HAI WO RANGAT HUSSAIN (AS) KI
MAA'IL BA HUKM E RAB THI TABEE'AT HUSSAIN (AS) KI
SAJDE MAIN SAR KATAANA THI RAHAT HUSSAIN (AS) KI
HAQ GOI, HAQ PARASTI THI FITRAT HUSSAIN (AS) KI
MUSLIM TUJHAY MILI HAI QARAABAT HUSSAIN (AS) KI

Thursday, August 23, 2018

SANGEET KAY SUREELAY ZAMANAY MAIN JEE KAY DEKH

MUSLIM SALEEM - 23 August 2018
SANGEET KAY SUREELAY ZAMANAY MAIN JEE KAY DEKH
UNNEES SAU PACHAAS KAY ASHRAY MAIN JEE KAY DEKH
GAR JAANANA HAI KAISI HAI JAKDAN NIBAAH KI
TU BHI BANDHAY TIKAY HUAY RISHTAY MAIN JEE KAY DEKH
US KAY LABON PE PHAILI HAI ZEHREELI SI HANSI
MEHNGAAI KEH RAHI KE SASTAY MAIN JEE KAY DEKH
LETA HAI DOOR DOOR SAY NAATAK KA KYUN MAZAA
KIRDAR BAN KAY KHUD HI TAMAASHAY MAIN JEE KAY DEKH
TU RAUSHNI KA DAM PAY HAI ZINDA, MIRI TARAH
TANHAAI KAY AMEEQ ANDHARAY MAIN JEE KAY DEKH 

Wednesday, August 22, 2018

MUSLIM SALEEM ...22 August 2018 ASHKON SAY BEETAY WAQT KY MANZAR BHIGO LIYE

MUSLIM SALEEM ...22 August 2018
ASHKON SAY BEETAY WAQT KY MANZAR BHIGO LIYE 
JO KOI YAAD AA GAYA US KO HI RO LIYE
HAMKO YAQEEN KARNA THA HAM HAIN BHI YA NAHEEN
AASAAB SO NA JAYEN TOU NASHTAR CHUBHO LIYE
BARSON KI KHAMUSHI PE YUN SHABKHOON MAARIYE
KUCCH HAM SUNAYEN HAAL TOU KUCHH AAP BOLIYE
AAKHIR KO KEH UTHHAY KE JO KEHNA KABHI NA
THAA ITNA KAHAAN THAA SABR KE HAR BAAT TOLIYE
IQBAL, MEER, GHALIB O MUSLIM HAIN BAY-MISAAL
QATRAY HAIN KUCCH JINHON NAY SAMANDAR SAMO LIYE

Monday, August 20, 2018

MUSLIM SALEEM - 15 MAY 2018 MAQAAM AISA KE IMKAN-E-HADISAAT NAHEEN

MUSLIM SALEEM – 15 MAY 2018
MAQAAM AISA KE IMKAN-E-HADISAAT NAHEEN
JAGAH BATAAO KUCHH AISI JAHAAN PAY GHAAT NAHEEN
FUTOOR ZEHN MAIN ZAN ZAR ZAMEEN KA HAR DAM
FAQEER KEHTA HAI DUNIYA SAY ILTIFAAT NAHEEN
ABHI TOU AUR BHI DARYAAFT HONGAY SAYYARAY
SUKHAN YA YE MERA MIRI SAARI KAINAAT NAHEEN
JIGAR SAY KAAM CHALAA LENGE DIL NAHEEN HAI AGAR
YE SHEESHA TOD DIYA TUMNAY KOI BAAT NAHEEN
KHUDA TOU DEKH RAHAA HAI MIRA AMAL MUSLIM
ZAMANA CHEEKH RAHA HAI TOU KOI BAAT NAHEEN

MUSLIM SALEEM -19 August 2018 Na jafaon na wafaon jaisi

Muslim Saleem - 20 August 2018
bay-yaanay ki shakl bana di hai ham nay
dil par teri muhr laga di hai ham nay
uski anaa kuchh aisay barha di hai ham nay
apni anaa har tarh ghata di ham nay
bay-qadri ki dhoop na tujhko jhulsaye
sheron ki bauchhar laga bana di hai ham nay
chaar ankhon say gup chup baatain kar kar kay
lafzon ki deewar gira di hai ham nay
is main chamakta rang e lahu sindoori hai
aaj ghazal ki maang saja di hai ham nay

Muslim Saleem - 20 August 2018 bay-yaanay ki shakl bana di hai ham nay

Muslim Saleem - 20 August 2018
bay-yaanay ki shakl bana di hai ham nay
dil par teri muhr laga di hai ham nay
uski anaa kuchh aisay barha di hai ham nay
apni anaa har tarh ghata di ham nay
bay-qadri ki dhoop na tujhko jhulsaye
sheron ki bauchhar laga bana di hai ham nay
chaar ankhon say gup chup baatain kar kar kay
lafzon ki deewar gira di hai ham nay
is main chamakta rang e lahu sindoori hai
aaj ghazal ki maang saja di hai ham nay

do ashaar tarannum main

Do ashaar tarannum main

Sunday, August 19, 2018

MUSLIM SALEEM --- EK LADKI HAI HAWAON JAISI

MUSLIM SALEEM ---EK LADKI
EK LADKI HAI HAWAON JAISI
MEHKI MEHKI SI FAZAON JAISI
EK GAYAK KI SADAON JAISI
IK MUSAWWIR KI DUAON JAISI
HUSN HAI SHEHRI HASEENA JAISA
SAADGI USKI HAI GAON JAISI
CHEHRA JAISE HO DAMAKTA SURAJ
ZULF LEHRAYE GHATAON JAISI
SEEKH LAY BAAD E SABA BHI AB TOU
KUCHH ADA USKI ADAON JAISI

Saturday, August 18, 2018

MUSLIM SALEEM - 18 AUGUST 2018 TUM KAHAN SAY ZINDAGI MAIN AA GAYE

MUSLIM SALEEM - 18 AUGUST 2018

TUM KAHAN SAY ZINDAGI MAIN AA GAYE

HAM ACHANAK RAUSHNI MAIN AA GAYE

HAM NAHEEN THAY WO JO HAM DIKHNAY LAGAY

DEHR KI SHEESHAGARI MAIN AA GAYE

DEKH LEEJAY HAM HUAY KYA KAAMYAB

KITNAY CHEHRE HAMSARI MAIN AA GAYE

RASM E BANDAPARWARI KAR DO ADA

HAM TUMHARI BANDAGI MAIN AA GAYE

KAANPTAY ANJAAM SAY HOTA JO HOSH

HAM YAHAAN DEEWANGI MAIN AA GAYE

Friday, August 17, 2018

Muslim Saleem ka majmoo’a “Sarmaya” unicode main parhen

سرمایہ
(کلام مسلم سلےم)
مرتبہ
عطاءاللہ فیضان
کتاب کا نام : سرمایہ (کلےاتِ مسلم سلےم)
شاعر : مسلم سلیم
ترتیب : عطاءاللہ فیضان
اشاعت :
قےمت :
ناشر :
پتہ :
طباعت :
عرضِ مصنف
ؑ میرا پہلا مجموعہ ”آمد آمد“ ۰۱۰۲ میں شایع ہوا تھا ۔ دریں اثنا ءمتعدد نئی غزلیں اور قطعات بھی خلق ہوئے ہیں۔ ایک اور خوش آیند بات یہ ہوئی کی فیس بک اور انٹرنیٹ پر میری شاعری اور اردو کے لئے پر خلوص خدمات سے متاثر ہو کر دنیا کے ۵۳ شعراءنے مجھ پر منظوم۹۵ نذرانے تحریر کر دئے۔میری دو غزلوں پر متعدد منظوم اور نثری تبصرے بھی کئے گئے ہیں۔ زیرِ نظر مجموعے میں یہ سب کچھ مجتمع کر دیا گیا ہے تاکہ قاری کے ذہن میں قلمکار کی مکمل تصویر ابھر سکے۔میری شخصیت اور شاعری پر اب تک تحریر کردہ سبھی مضامیں بھی اس مجموعے کی زینت ہیں۔ امید کہ پسند آئیں گے۔
مسلم سلےم
Muslim Saleem,
280, Khanugaon,
Near Masjid Bismillah
Bhopal 462001
Mob 09893611323
e-mail saleemmuslim@gmail.com
فہرست
صفحہ
عرضِ مصنف ۔۔1
.پیش لفظ۔علامہ کوثرصدیقی
.1 معاصرین کی نظرمیں مسلم سلیم
2 دنیا کے۵۳ شعراءکے مسلم سلیم کو۵۵ منظوم خراج عقیدت ۔۔
3 کلام ِ مسلم سلیم حصہ اول۔ا ٓمد۔آمد ۔۔۔
.4 کلامِ مسلم سلیم حصہ دوم ©”باز۔آمد © ©“ ۔۔۔
۔
.5قطعات ۔۔۔
.6 مفرداشعار
.7یکم مئی ۷۱۰۲کے بعدکے اشعار
.8خودنوشت © ©”مسلم سلےم۔کےا بودوباش پوچھو ہو“
پیش لفظ
غزل کا بادشاہ مسلم سلےم
مسلم سلےم کو علمی و ادبی گھرانے کے اعتبار سے نجیب الطرفین کہا جائے تو غلط نہ ہوگا۔ ان کے پر۔نانااپنے دور کے مشہور دانشور سید عبدالباقی ان تاریخی ہستیوں میں ہےں جو محمڈن اینگلو اورئینٹل کالج علی گڑھ کے ابتدائی پانچ طلبا میں شامل تھے۔آپ کے والد بزرگوار ڈاکٹر سلیم واحد سلیم بھی علی گڑھ مسلم یونیورسٹی کے طبیہ کالج سے فارغ التحصیل تھے جان کی تعلیم و تربیت اپنے پھوپھا ڈاکٹر عطاءاللہ بٹ کی زیرِ نگرانی ہوئی تھی جو اس دور میں جرمنی سے اےم ڈی کرنے کے بعد مسلم یونیورسٹی کے طبیہ کالج کے موسّس (founder ) پرنسپل اور امراضِ چشم کے شہرت ےافتہ معالج تھے۔ دادا محترم عبدالواحد بینک آف تہران (ایران) میں جنرل مینیجر تھے۔ دادی محترمہ فخرالسادات قاجاری خاندان کی شہزادی تھیں۔ مسلم سلےم کے والد اور پھوپھیوں کی مادری زبان فارسی اور ثانوی زبان فرانسیسی تھی۔ اس طرح وہ نسبی لحاظ سے بھی نجیب الطرفین ہےں۔

Tuesday, August 14, 2018

MUSLIM SALEEM - 13 AUGUST 2018 ..... HAM NAY KABHI WAFAAON KA CHARCHA


MUSLIM SALEEM - 13 AUGUST 2018
HAM NAY KABHI WAFAAON KA CHARCHA NAHEEN KIYA
WO BHI NIBHAA DIYA HAI JO WAADA NAHEEN KIYA
POSHEEDA AARZU'ON KO RUSWA NAHEEN KIYA
DIL KHOOn KIYA HAI AANKH KO DARYA NAHEEN KIYA
MEHFIL MAIN JAHILON KI RAHE PUR WAQAAR HAM
CHUP CHAAP LAUT AAYE TAMAASHA NAHEEN KIYA
CHIDIYA KO KYA UDAA KAY KOI BAAZ LAY GAYA
WAA AAJ US HASEEn NAY DAREECHA NAHEEN KIYA
MAULA KA YE KARAM HAI KE MUSLIM HAR EK KAAM
YUN KAR LIYA HAI HAM NAY KE GOYA NAHEEN KIYA

MUSLIM SALEEM - 12 AUGUST 2018 CHANDNI MAIN NAHEEN

MUSLIM SALEEM - 12 AUGUST 2018
CHANDNI MAIN NAHEEN, RAUSHNI MAIN NAHEEN
US MAIN KUCCH KHAAS HAI JO KISI MAIN NAHEEN
PHIR BHI MANSOOB US SAY KARTE HAIN SAB
ZIKR JISKA MIRI SHAIRI MAIN NAHEEN
KUCHH KHAFA, KUCHH HAYA, KHAMUSHI HI SADA
KAISI KAISI ADA BERUKHI MAIN NAHEEN
LAB PE AAYA HAI USKE JO HARF E WAFA
AISI SHEEREENI TO CHASHNI MAIN NAHEEN
SAANS SAZINDE KI KHEL KARTI HAI SAB
WARNA KOI HUNAR BAANSURI MAIN NAHEEN

MUSLIM SALEEM - 3 AUGUST 2018 ..... KISI KE DAR PE

MUSLIM SALEEM - 3 AUGUST 2018
KISI KE DAR PE HAMARI JHUKI JABEEN TOU NAHEEN
KOI HAMARA SIWAA E KHUDA NAHEEN TOU NAHEEN
MILAA HAI PYAAR SE LEKIN INAAD KA KHANJAR
KAHEEN CHHUPAYE HUAY TERI AASTEEn TOU NAHEEN
KABEER, NANAK O GAUTAM KA DESH THAA JO KABHI 
WAHI HAI DESH MAGAR AB YE WO ZAMEEN TOU NAHEEN
CHHUPA KE TAAQ MAIN TU SACH KO RAKH NA PAAYE GAA
GUMAAn HAI YEH, MUTAZALZAL TIRA YAQEEN TOU NAHEEN
AGAR HABEEB E KHUDA KI NAHEEN DILI TAAZEEM
ZARAA YE DEKH KE KHATRAY MAIN TERA DEEN TOU NAHEEN

MUSLIM SALEEM - 31 JULY 2018 HAALAT E DIL


MUSLIM SALEEM - 31 JULY 2018
HAALAT E DIL..................................................................
CHHINA HAI JAB SE SAHARA KISI KI BANHON KA
NA AANSUON KA THHIKANA HAI AUR NA AAHON KA
UDAAS HO KAY BHI NAGHMA SARAA HOON WAQT E SAFAR
KE DIL BEHELTA RAHE IN UDAAS RAHON KA
KABHI IDHAR HAI NIGAH -E JAHAN KABHI HAI UDHAR
MUKALAMA HE NIGAHON SE JAB NIGAHON KA
HAALAT E HAZIRA.............................................................
KISAY PATAA HAI KE LYNCHING KAHAAN PE HO JAYE
PATA BADALTA HI REHTA HAI QATL-GAHON KA
HAMARAY DAUR MAIN JAB NAUJAWAN MILTAY HAIN
BAKHAAN KARTAY HAIN SAB FAKHRIYA GUNAHON KA 
WATAN-FAROSH HAIN, TV DEBATE MAIN AKSAR
SABAQ PARHAATAY HAIN NAFRAT KI DARSGAHON KA

جدیدکمپیوٹر عہدکاشاعر:مسلم سلیم تحریر۔احد پرکاش

جدیدکمپیوٹر عہدکاشاعر:مسلم سلیم
تحریر۔احد پرکاش
مسلم سلیم ہمارے عہد کے اہم شاعر ہیں۔وہ جدید بھی ہیں اور کلاسک بھی۔صحافت، ادب اور آرٹ سبھی میں مسلم سلیم نمایاں ہیں۔یہ طے کرناکہ در اصل وہ ہیں کیا؟چہرہ شناس، سخن شناس، قلم کے جادوگر،صحافی، شاعر، دوست جن کی آنکھیں بولتی ہیں، خوش کلام، خوش لباس، خوش مزاج۔ ان کے بارہ میں ثروتؔ زیدی بھوپالی کہتے ہیں۔
شعروادب کے تاج ہیں دل کے امیر ہیں
لفظوں کی انجمن میں انیسؔ و دبیرؔ ہیں
غالبؔ نواز قوم نے اعلان کر دیا

MUSLIM SALEEM - 20 JULY 2018....... KAHI KEHNE WALE NAY IK BAAT SACHCHI

MUSLIM SALEEM - 20 JULY 2018
KAHI KEHNE WALE NAY IK BAAT SACHCHI
MAGAR SACH KI TASHREEH SAB NAY ALAG KI
MAIN SACH MAIN SAY SACH DHOONDHTA PHIR RAHA HOON
MIRI JUSTUJOO YUN 73 MAIN BHATKI

MUSLIM SALEEM - 19 JULY 2018.... WUFOOR E TASHNAGI KA SAAMNA HAI


MUSLIM SALEEM - 19 JULY 2018
WUFOOR E TASHNAGI KA SAAMNA HAI
SAMANDAR KHALI KHALI LAG RAHA HAI
KABHI RUK JAYE TO DIL KAANPTA HAI
KE JAISE DARD HI AB TOU DAWA HAI
LIBAADA JHOOT KA KYUN ORHTAA HAI
TU KEH DE SACH AGAR SACH JAANATA HAI
BASEERAT KAR NAZAR SEENE KE ANDAR
YAHAAN DEKHE YAHAAN TOOFAN UTHHA HAI
SUNA HAI KUFR MAYOOSI HAI MUSLIM
LABON PAR PHIR DUA E NAA-RASAA HAI

MUSLIM SALEEM - 17 JULY 2018..... GHAR MAIN DAULAT KE AMBAAR HOTAY


MUSLIM SALEEM - 17 JULY 2018
GHAR MAIN DAULAT KE AMBAAR HOTAY
KASH HAM BHI "SAMAJHDAR" HOTAY
BAY-SARI MAIN BHI SARDAR HOTAY
BAY ZAMEEN KAY ZAMEENDAR HOTAY
THODA RAKH LETE KHUD KO BACHA KAR
THODA BIKNAY KO TAYYAR HOTAY
CHALTAY SAUDAY KAY QALEEN PAR HAM
PAAON KAY NEECHAY KYOON KHAR HOTAY
PHIR KHAYAL AYA HAM TOU HAIN MUSLIM 
DHAT TIRAY KI JO YUN KHWAR HOTAY

MATLOOB IS ZAMANAY KA JOOD O KARAM NAHEEN...MUSLIM SALEEM - 16 JULY 2018


MUSLIM SALEEM - 16 JULY 2018
MATLOOB IS ZAMANAY KA JOOD O KARAM NAHEEN
HAM KO YAHI BAHUT HAI KE SAR APNA KHAM NAHEEN

MUSLIM SALEEM - 15 JULY 2018 - ghazal

 MUSLIM SALEEM - 15 JULY 2018
HAM KO SIWAA ZAMEER KOI MUHTRAM NAHEEN
KHUD KO JAWAABDEH HAIN ZAMANAY KO HAM NAHEEN

مسلم مجاہدینِ آزادی کے اسٹکرس مفت تقسیم کیے گئے

رشید انجم اور مسلم سلیم نے کی رونمائی، آندھرا پردیش کے سید نصیر احمد کی خدمات کی ستائش
بھوپال: ، آندھرا پردیش کے عظیم محبِ قوم سید نصیر احمد امت اور اردو کی بیش بہا خدمات انجام دے رہے ہیں۔ اس سلسلے کو آگے بڑھاتے ہوئے انھوں نے مسلم مجاہدینِ آزادی کے اسٹکرس مفت میں تقسیم کرنا شروع کیا ہے۔ یہ اسٹکرس کاپیوں، کتابوں، دو پہیہ اور چار پہیہ گاڑیوں اور دیگر موضوں مقامات پر لگائے جا سکتے ہیں تاکہ مسلم مجاہدینِ آزادی کی یاد تازہ رہے۔
کرناٹک سے ان اسٹکرس کی آمد پرمایۂِ ناز ادیب جنا ب رشید انجم اور بین الاقوامی شاعرجناب مسلم سلیم نے کی ان کی رونمائی کی اوراقبال لائبریری میں مفت تقسیم کیے۔ دلچسپی رکھنے والے حضرات یہ اسٹکرس اقبال لائبریری سے مفت حاصل کر سکتے ہیں۔
اسٹکرس پر سبھی مشہور کے ساتھ ساتھ گمنام مسلم مجاہدینِ آزادی کا مختصر تعارف اور تصاویر شایع کی گئی ہیں۔ اس پر سید نصیر احمداور انکے ہمنوا ایم۔اے۔ سالار نے لاکھوں روپئے اپنی جیب سے خرچ کیے ہیں۔ اس کے لیے انکی جتنی ستائش کی جائے کم ہے۔
جناب رشید انجم نے بتایا کہ مسلم سلیم صاحب کے توسط سے یہ اسٹکرس مفت تقسیم کیے تقسیم کیے گئے ہیں۔
جناب مسلم سلیم نے بتایا کہ جناب سید نصیراحمدآندھرا پردیش کے شہر گنٹرکے ایک عظیم محبِ قوم اور اردو نواز ہیں جو اس سے پہلے مسلم مجاہدینِ آزادی پرایک ضخیم کتاب بھی شایع کر چکے ہیں۔اردو اورانگریزی میں الگ الگ ان کتابوں کی اشاعت میں جناب شیخ محی الدین باشا اور شیخ مستان باشا نے قابلِ قدر مالی تعاون دیا ہے ۔ اس سے پہلے سید نصیر احمدمسلم مجاہدینِ آزادی کی زندگی اور خدمات پر بروشرس بھی شایع کر چکے ہیں۔ اس پر بھی انھوں نے اور انکی ٹیم ذاتی اخراجات کیے ہیں۔
جناب مسلم سلیم اورجناب رشیدانجم نے سید نصیراحمد کی ان مخلصانہ کوششوں کے لیے ان کو تہِ دل سے خراجِ عقیدت پیش کیا اور اسٹکرس تقسیم کیے۔ اس موقع پرخوش فکرشاعرجناب ثروت زیدی بھوپالی اور مشہور ادیب جناب احد پرکاش نے اپنے خیالات کااظہار کیا۔

Tuesday, May 22, 2018

MATLA JO AAJ KHWAB MAIN WARID HUA ....MUSLIM SALEEM - 22 APRIL 2018

MATLA JO AAJ KHWAB MAIN WARID HUA
"KAAM KOI AGAR NA KAR PAO
ACHCHI BAATEN HI BOLTAY JAO
IS SAY PEHLE BHI KHWAB MAIN EK DO GHAZLA, QATA AUR ASHAAR WARID HO CHUKE HAIN JINHEN MAIN FACEBOOK PAR SHARE KAR CHUKA HOON....MUSLIM SALEEM - 22 APRIL 2018

MUSLIM SALEEM - 21 MAY 2018 AASI HUN MAGAR PHIR BHI KHUDA KA HAI SAHARA

MUSLIM SALEEM - 21 MAY 2018AASI HUN MAGAR PHIR BHI KHUDA KA HAI SAHARA BHATKA JO KABHI TOU MUJHAY MANZIL IN PUKARA

Thursday, May 10, 2018

MUSLIM SALEEM FAATEH HO HAR KHUSHI KA, HAR EK GHAM KO JEET LAY

MUSLIM SALEEM
FAATEH HO HAR KHUSHI KA, HAR EK GHAM KO JEET LAY
GAR TUJH MAIN YE SIFAT HAI TO AALAM GHAM KO JEET LAY
LAA ETBAAR BAKHT KAY HAR KHAM GHAM KO JEET LAY
DIL GAR BADALTAY RANG KE MAUSAM GHAM KO JEET LAY
KYA ZIKR DOSTON KA, IK AALAM GHAM KO JEET LAY
SHEEREEN-DAHAN TO DUSHMAN-E-BARHAM GHAM KO JEET LAY
MAIDAN HAM NE CHHOD DIYA HAI KHULA HUA
HAM KHUD YE CHAHATAY HAIN KOI GHAM KO JEET LAY
RETHA HAI USKA GHAO TAR-O-TAAZA HAR GHADI
MUSLIM HAI YE WO ZAKHM JO MARHAM GHAM KO JEET LAY