Friday, November 30, 2018

MUSLIM SALEEM - HAMAARE PAAS BHI AURAQ HAIN KUCHH

MUSLIM SALEEM - 30 November 2018
HAMAARE PAAS BHI AURAQ HAIN KUCHH
ALAM YE HAI KE NAZR E TAAQ HAIN KUCCH
IBAADAT KARNE WAALE HAIN KARORON
MAGAR HAAN AARIF E KHALLAQ HAIN KUCHH
NIZAM O SABIR O KHWAJA HAIN MARJA'
WO SHAKHSEEYAT JO CHIQMAAQ HAIN KUCHH
NAI NASLO! SUNO! MAIRAY SUKHAN MAIN
TUMHAARE WAASTE ASBAAQ HAIN KUCCH
GIRAAN HAIN QARZ-HAA-E ZINDAGANI
ABHI BAAQI HAIN KUCCH, BEBAAQ HAIN KUCCH

KHALLAQ: KHUDA, CHIQMAAQ: MAGNET, ASBAAQ:

LESSONS

Tuesday, November 27, 2018

MUSLIM SALEEM - MAANA KE SITARON SE MULAQAAT NAHEEN HAI

MUSLIM SALEEM - 27 NOVEMBER 2018
MAANA KE SITARON SE MULAQAAT NAHEEN HAI
MAIN CHAND SE MILTA HOON, KOI BAAT NAHEEN HAI
THUKRAA DOON MAHABBAT KA AGAR SAATH NAHEEN HAI
HAI PYAR MIRA HAQ KOI KHAIRAAT NAHEEN HAI
IMAAN KA NAGAR WAADI E ZULMAAT NAHEEN HAI
SACH DIN KI WO BASTI HAI JAHAAN RAAT NAHEEN HAI
MAT JAAN KE AB BAAZI MIRAY HAATH NAHEEN HAI
SHEH DI HAI ABHI US NAY KOI MAAT NAHEEN HAI
MATLAB KAY JAWANI SE JAWANI KE HAIN RISHTE
HAI GARMI E KHOON GARMI E JAZBAAT NAHEEN HAI

Friday, November 23, 2018

MUSLIM SALEEM - 23 NOVEMBER 2018 ZARDAAR HUA JAB SE, WO ZAR DHOONDH RAHI HAI

MUSLIM SALEEM - 23 NOVEMBER 2018
ZARDAAR HUA JAB SE, WO ZAR DHOONDH RAHI HAI
DUNIYA MIRE AIBON MAIN HUNAR DHOONDH RAHI HAI
JIN MAIN HO MAHABBAT KI BHADKATEE HU'EE DAWAT
BETAAB NIGAHON KO NAZAR DHOONDH RAHI HAI
HAI NASL NAYEE, SUBHA KO IK PED LAGAYA
AUR SHAM KO SAKHON PE SAMAR DHOONDH RAHI HAI
AKHBAR HAIN CHUP, TV HAI KHAMOSH, YE JANATA
JO SAB KO PATA HAI WO KHABAR DHOONDH RAHI HAI
GUMNAM SA SHAIR HAI JISE KEHTE HAIN MUSLIM
KYA KAHIYE USAY AAJ KHABAR DHOONDH RAHI HAI

Tuesday, November 20, 2018

MUSLIM SALEEM - IK KAIF TILISMAATI DAR O BAAM PE UTRE

MUSLIM SALEEM - 20 NOVEMBER 2018
IK KAIF TILISMAATI DAR O BAAM PE UTRE
GAR AKS E PARI-CHEHRA MIRE JAAM PE UTRE

SURAJ TOU DHALAA AB HAI FAQAT TERA SAHAARA
AA JAA KE UJAALON KI KIRAN SHAAM PE UTRE

HAI ZAHN KI SARHAD PE TIRI YAAD MUHAFIZ
KYUN QAFILA E GHAM DIL E NAAKAM PE UTRE

KUCCH TUM BHI GAREBAAN MAIN ZARA JHAANK KE

DEKHO
KYA HO GAYA AISA KE HAM ILZAAM PE UTRE

JAB MUJH SA GUNEH-GAAR HUA AAZIM E TAIBA
RAHMAT KO FARISHTE LIYE HAR GAAM PE UTRE