Monday, May 27, 2019

EK BAHUT IMAN-AFROZ WAQI'A

EK BAHUT IMAN-AFROZ WAQI'A ....WHAT HAPPENED WHEN KANHAIYYALAL GABA EMBRACED ISLAM?

Thursday, May 23, 2019

Muslim Saleem Recited kalam at Akashwani, Bhopal on May 22, 2019

Muslim Saleem Recited kalam at Akashwani, Bhopal on May 22, 2019

Monday, May 20, 2019

Naatia Qata: SAMAJH LO KHUD HI WO KITNI AZEEM ZAAT HUI

MUSLIM SALEEM 20 MAY 2019
SAMJH LO KHUD HI WO KITNI AZEEM ZAAT HUI
NABI (saw) KE NOOR SE TAKHLEEQ KAINAAT HUI
SHARAF YE AUR KISI KO NAHEEN HUA HAASIL
KHUDAA KI DEED HUI AUR KHUDA SE BAAT HUI

Friday, May 17, 2019

MUSLIM SALEEM - 17 MAY 2019

JO MILAY HAIN CHAH KI RAAH MAIN WO AZAAB MUJHKO AZEEZ HAIN
MAIN HAQEEQATON SE NAHEEN DARA, MERE KHWAAB MUJHKO AZEEZ HAIN
NA HO JIN MAIN BOO'AY MUSAAHIBAT WOH KHITAAB MUJHKO AZEEZ HAIN
NA HUZOOR E WAALA PASAND HAIN, NA JANAAB MUJHKO AZEEZ HAIN
JISE BAY-LIBAASI KA SHAUQ HAI, WOH HAI MUSLIMAAT PE TAANA-ZAN
YEH TOU ISMATON KE HAIN PAASBAAN, YEH HIJAAB MUJHKO AZEEZ HAIN
HAIN YEH SAB MAZAAHIR E EEZDI YAHI BAS SABAB HAI WAGARNA KAB
YEH QAMAR YEH SHAMS YEH KEHKASHAAN YEH SHIBAAB MUJHKO AZEEZ HAIN
MIRE SAB GUNAAHON KO DHO DIYA, MUJHAY PHIR SE PAAK BANA DIYA
JO SAZAA SAZAA KE TAUR PE MIL GAYE WO ITAAB MUJHKO AZEEZ HAIN

Thursday, May 16, 2019

Yun bhi guzar rahi hai Jo milte tou theek thaa

Muslim Saleem - March 5, 2019

Yun bhi guzar rahi hai Jo milte tou theek thaa
Kuchh pal kisi ke saath guzarte tou theek thaa
Dil main utar ke jalwon ne toofan uthaa diya
Nazron ki sarhadon pe theherte tou theek thaa
Ruswaiyaan uthaa ke bhi jee lenge ham magar
Bante na aarzoo ke tamashe tou theek thaa
Kehti hain Haal dil ka nigahen Janab ki
Kuchh aap apne munh se bhi kehte tou theek thaa
Muslim ke Haal e zaar pe mehfil ne yun kaha
Ye shakhs unke aane se pehle tou theek thaa

USKI ADAA NAY RAKH DIYA KHUD HAMKO MAAR KAY

MUSLIM SALEEM - 7 MAY 2019
USKI ADAA NAY RAKH DIYA KHUD HAMKO MAAR KAY
HAMKO PATAA NAHEEN THAY IRAADE SHIKAR KAY
BOSEEDA PAIRHAN KOI KAB TAK SIYA KARE
BAKHIYE UDHAD GAYE HAIN BAHUT AITBAAR KAY
SEERAT BHALI NA JAANIYE SOORAT KO DEKH KAR
DAAWE GHALAT BHI HOTAY HAIN KUCHH ISHTIHAAR KAY
DHUNDHLA GAYE HAIN AAJ ZAMANAY KI GARD MAIN
JO KUCHH SAJAA KAY RAKKHAY THAY SAPNAY BAHAAR KAY