Monday, October 14, 2019

MUSLIM SALEEM - JHEEL SI USKI ANKHON MAIN DEKHA

MUSLIM SALEEM - 14 OCTOBER 2019
JHEEL SI USKI ANKHON MAIN DEKHA
HO GAYE GHARQ CHAHON MAIN DEKHA!
JASHN HAI DIL KI MEHFIL MAIN JAB SE
IK ISHARA NIGAHON MAIN DEKHA
ANKH SE USKO DEKHA THA IK PAL
PHIR TOU DHADKAN MAIN, SANSON MAIN DEKHA
KHUSH NASEEBI HAMARI HAI CHHAT PAR
CHAND KO KAALI RAATON MAIN DEKHA
DIL KI HASRAT NE JANNAT NAZAARA
NAAZ NAKHRON MAIN GHAATON MAIN DEKHA

Sunday, October 13, 2019

MUSLIM SALEEM .....MOB LYNCHING

MUSLIM SALEEM .....MOB LYNCHING
KAISA INSAF, KAISI ADALAT
HAI PATAA AUR PATAA HI NAHEEN
BHEED NE MAAR DAALA KISI KO
JURM KOI HUAA HAI NAHEEN

Ghazal ... TU NAHEEN, RAASTA HI NAHEEN ....Muslim Saleem

MUSLIM SALEEM - 13 OCTOBER 2019
TU NAHEEN, RAASTA HI NAHEEN
AB KAHEEN KUCHH BACHAA HI NAHEEN
DIL DIWANA HAI TERE SIWA
AUR KUCHH DEKHTA HI NAHEEN
AAP JAISE HAIN, IS ZINDAGI MAIN
KOI AISA MILA HI NAHEEN
AAJKAL WO KHATAAKAR HAI
JISKI KOI KHATA HI NAHEEN
DIL TIRI RAAH MAIN DAT GAYA HAI
HAT HAI AISI, HATAA HI NAHEEN
HAR TARAF SE DABAAO THA BHAARI
PHIR BHI MUSLIM DABAA HI NAHEEN

Saturday, October 12, 2019

ASLAM MIRZA'S COMPREHENSIVE STUDY OF SIRAJ AURANGABADI IN HINDI By Muslim Saleem


ASLAM MIRZA'S COMPREHENSIVE STUDY OF SIRAJ AURANGABADI IN HINDI
By Muslim Saleem
Aslam Mirza is great writer and poet of India based at Aurangabad. He has scored innumerous

books in Urdu. This is for the first time he has compiled a book in Hindi to help Hindi people

understand the value and greatness of Siraj Aurangabdi's kalaam. Siraj, a sufi saint of 18th

century, was one of the pillars of modern Urdu after Wali Deccani. Aslam Mirza has taken pains

to write meanings of difficult Urdu words in Hindi with every ghazal, which is highly

commendable and will help Hindi readers to grasp meaning and mood of ghazals.
Pages 203
Price: Rs 300
Publisher
Mirza World Book House,
Hameed Complex, Qaisar Colony,
Aurangabad-431001
Mob: 0932503227

Sunday, October 6, 2019

Hamne khud apna khoon piya hai mat poochho---Muslim Saleem

MUSLIM SALEEM SIX OCTOBER TWENTY NINETEEN
Hamne khud apna khoon piya hai mat poochho
Kitni mehngi dil ki dawa hai mat poochho
Dekh lo tum aamaal hamare aur samajh lo
Hamse kyun naraaz Khuda mat poochho
Chhed ke ik din shokh haseen ko dekho tou
Aandhi hai ya baade saba hai mat poochho
Dhool udaao thodi si phir jaanoge
Kis rukh par kid samt hawa hai mat poochho
Asl ye hai Muslim ki wajhe naakami
Amal naheen aur lab pe dua hai mat poochho