Saturday, June 29, 2013

Muslim Saleem, ek qata aur chand ashaar, June 28, 2013

Ek qata aur chand ashaar, June 28, 2013
Aaj sandooq se daireena zamaane nikle
Diary kholi to yaadon ke khazaane nikle
Aise maazi ki phuaron men sharabor huey
Jaise bachcha koi baarish mein nahaane inkle
……………Baaqi asha’ar………………………
Log afasurdaa they ham unko hansaane nikle
Aaj phir zakhm zamaane ko dikhaane nikle
Waada-e-wasl kuchh is tarh nibhaane nikle
Apne ghar se wo saheli ke bahaane nikle
Log phirte hain yahaan bhes badal kar Muslim
Shakl-e-darwesh men ab kaun na-jaane nikle
FACEBOOK COMMENTS
Babur Ali Asad
w a a a a a h kiya Khubsurat Radeef ista,al kiya hay or Qafiya or Radeef k Tlazmay nay behtreen bana diya hay ghazl koi bohat si Daaaad
Haris Bilal
waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah kiya baaat hy sir……….. boht khobsurat Mashallah………..
Shayar Ashok Mizaj Badr
wah wah maza aagaya
Gayas Pasha Jagirdar
wah
Ziyad Hussain
bhut khub
Farhan Mirza
bahot khub Janab
Naz Muzaffarabadi
Wah bohat khoob
Adnan Bin Zia
waah waaah masha alllah la jawab sir
Azhar Iqbal Azhar صورت ِ درویش مستعمل ہے۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔باقی بہت عمدہ اشعار ہیں۔۔۔۔۔۔۔لاجواب
Javed Mansuri
bahuthi khoobsurat line….likhi hai….gud 1..
Zareena Khan
bohat umda ………… kya kehne
Majeed Taj Baloch
Bahut umda. Bahut khoob
Log afsurdaa they ham
unko hansaane nikle
Majeed Taj Baloch
Maqtah to laajawab hay sir.
Log phirte hain yahaan
bhes badal kar Muslim Shakl-e-darwesh men ab
kaun na-jaane nikle
Kaamran Zia s
ubhan allah
Sher Bahadur Akhtar baut
umda,,,kiya kehne…..matla aur makte to lajawab hai,,
Abu Obaida Azmi
Waah bahot khoob
Iftikhar Falak
Umda Muslim Bhai…. G.o… bht G.o
Suhail Ahmad Azmi •
bahut umda sher hai ap ka waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah
  1. FACEBOOK COMMENTS
    Faiyaz Rashk
    waaah bohat umdaaa
    Faisal Nawaz
    Log afasurdaa they ham unko hansaane nikle
    Aaj phir zakhm zamaane ko dikhaane nikle
    wah wah wah wah ustad e mohtram Muslim Saleem sir aap ka sher kehta hai woh laug jo hamesha meri tazheeq o takzeeb mein lgay rehtay thay shayed thak gae thay apni iss aadat kay jari rehnay say aaj mein intehaaei zaboon haal ho kar aaya hoon kay inn kay hansanay ka saamaan ho jae………….subhaan Allah
    Ubaidur Rahman Makki
    Khoob
    Syed Zia Rizvi
    Kya xoob aur lajawaab kalam hai janab bhai Muslim Saleem Sb.
    muslimsaleem
    June 29, 2013 at 6:43 am | #3
    Reply | Quote
    Your comment is awaiting moderation.
    Sohail Ahmed Siddiqui says:
    June 28, 2013 at 1:32 pm (Edit)
    واہ واہ…..لہجے کی تازگی اور کلاسیک کا مزہ …کیا کہنے
    muslimsaleem says:
    Bahut shukiriya Sohail Ahmed Siddiqui sb

1 comment: