Muslim Saleem - ghazal
دریا ہے رواں خوں کا مرے قامت و قد میں
لے جانا لہو جب بھی کمی پاؤ رسد میں
کمرے میں ہوس کو تو چھپا سکتے ہو لیکن
یہ عشق ہے اور عشق ٹھہرتا نہیں حد میں
اک وہ ہی نہیں شہر میں مجرم تو بہت تھے
بس یہ ہے کہ وہ آگیا الزام کی زد میں
کیا اس نے چھپا رکھا ہے ہمدردی کے پیچھے
بو گل کی تو ہرگز نہیں گل پوش مدد میں
سرخی سے دمکنے لگا اشعار کا چہرہ
کچھ خون کیا صرف جو اظہار کی مد میں
تخلیق تو خود اپنی سند ہوتی ہے مسلم
نادان ہیں وہ لوگ جو الجھے ہیں سند میں
************
**************************************************
Facebook
comments
**************************************************************
·
مسلم ہے
بڑا پہلے ہی سے قامت و قد میں ۔ ۔ ۔ ۔
اب اور
کیا ٹھہرائوں اسے منصب و حد میں ۔ ۔ ۔
۔میں بزم
سخن میں اسے تسلیم کروں گا۔ ۔ ۔۔ ۔
آجائوں
بلا سے کسی الزام کی زد میں ۔ ۔ ۔ ۔
میں یہ
نہیں کہتا کہ بڑا اہلِ نظر ہے ۔ ۔ ۔
جو دیکھے
وہ کہہ دیتا ہے اظہار کی مد میں ۔ ۔ ۔
۔ ہے کام
یہ مسلم کا سخن ہی سے محبت ۔ ۔ ۔
الجھے گا
نہ ہرگز بھی وہ تعریف و سند میں ۔ ۔ ۔ ۔
جو تنگ
نظر لوگ ہیں میں ان سے لڑوں گا ۔ ۔ ۔ ۔
شہزاد نہ
آئے کوئی بھی میری مدد میں ۔ ۔ ۔ ۔
( جناب
مسلم سلیم بھائی ! چھوٹی بحر میں اس قدر خوبصرت اور حسین قافیوں سے سجی ہوئی غزل
پر مبارک باد پیش کرتا ہوں ۔ غزل پڑھتے ہوئے میرے جو دلی جذبات تھے وہ میں نے آپ
ہی کی بحر اور قافیوں کے ساتھ فی البدیہہ منظوم کر دئے ہیں ۔ ’’ گر قبول افتد زہے
عز و شرف ‘‘۔ ۔ ۔ ۔ ۔ ضیا۶ شہزا
·
Akmal Hussain Phirtaa hay falak barso'n tabb khaak kay parday say insaan
nikaltaa hay...Kuchh aesaa Mir nay kahaa thhaa.. INSAAN ki zameer ka marja'a
saaray insaan nahein bulkay jo mamtaaz-o-mutamiyaz hotaa hay (like superman)
woh muraad hay jaesay parindo'n mein SHAHEEN hay.iss waqt meray samnay Mir ka
INSAAN hay, Janab Muslim Saleem apni aik intehaee aala ghazal kay saath..iss
waqt mein buss itni see aadhi baat he karu'n gaa aur jald he puri baat bhe ho
ge..Insha Allah Al Aziz.
·
Ahmad Ali Khan Ham Urdu
Shair-o-Shaaeri ke hawaalay say Jin (LEGENDS) Mashhoor-Zamana Ghazalgo/ shoaraa
ko yaad kartay aaye hain un mein Chand Chunindaa Naam jaisay Janab Meer, Momin,
Ghalib aur Iqbal ki Ghazlon ko hi aksar-o-beshtar ham-asr shaairon pay tarjeeh
detay rahay hain………Aur unhen Shakhsiyaton ke Kalaam ko padhtay aur suntay aaye
hain.... ya yon keh saktay hain ke Hamari Neyaazmandi ki ye Intehaa thi ke Ham
nay deegar Shaairon ki Takhleeq, khawaah woh kitni Ba-asar aur Meyaari kyon na
ho,,, na to kabhi usay sarahaa Aur na hi unpay hamari koi khaas Enaayat rahi………
Magar Aaj jab Mohtaram Muslim Saleem sahib ki Is Taaza-tareen Ghazal say mera
saamna hua Aur iska Aks jaisay-jaisay Zehn-o-Dil pay gehraya to mujhe ykbaargi
yeh lagaa ke Janab Muslim Saleem sahib ke Wajood say aaj URDU KI WAHI SADI PHIR
SE LAUT AAYI HAI jis mein URDU ADAB nay kabhi Urooj-o-Baam ko chhooo liya
tha..... Aaj Aap ( Janab Muslim Saleem sahib) ke DAM say phir wahi Fiza is
Ghazal ke Diyaar ko Raunaq bakhshnay ke liye betaab hai...........
DARYA HAI RAWAAN
KHOON KA MERAY QAAMAT-O-QAD MAIN
LAY JAANA LAHOO JAB BHI KAMI PAO RASAD MAIN
....... Belaa-shubha yeh Ghazal Daur-e-Haazir ki Shaairy mein ik INQALAAB ki soorat lekar aayi hai…. Jadeediyat ke saath-saath Zindagi ki sachchayi aur Mahaul-o-Fiza ki Nabz-o-Tabiyat ko itni khoobsurati say padh lenaa sabke bas ki baat naheen…… Auron ki Ghazalgoyi ki rau say Mausoof ki Bulandi-e-parwaaz tak Resaayi aur pahuch kisi ke liye bhi asaan naheen bahut mushkil hai ….. Shaair ko Zabaan-e-Urdu pay jo qudrat haasil hai uska yeh Aainadaar bhi hai…. Agar ham isay ik Mukammal philosophy kahen to ghalat na hogaa…. jis mein har Jazbaa khud-b-khud jazb hokar rah gayaa hai…….. Haan, Tabseray ke liye Qalam Aur Roshnaayi thak kar Apni maazoori kaa izhaar zaroor kar saktay hain par Ghazal ki Asl-Rooh phir bhi Tashna-Lab hi rahegi.....! Is Naayaab –o-khoobsurat Ghazal ki Aamad par Dil say bas yahi sadaa nikalti hai…….. Hats off to you Sir…………. Meri Dua yahi hogi … Ba-qaul Janab Zia Shahzad* sahib ALLAAH ! AISAY LOGON KO UMAR-E-KHIZAR ATAA,,,,,

WO JINKAY DAM SAY
URDU NAY PAAYA UROOJ-O-BAAM,,,,,!!
·
Awesome.............
KAMRAY MAIN HAWAS KO
TO CHHUPA SAKTAY HO LEKIN
YE ISHQ HAI AUR ISHQ THEHARTAA NAHEEN HAD MAIN
YE ISHQ HAI AUR ISHQ THEHARTAA NAHEEN HAD MAIN
Sir,
Main Aapki Is nai Ghazal mein kuchh kho sa gaya hoon......... kabhi Meer,
Momin, Ghalib aur Iqbal ke baaray mein padha aur sunaa kartay thay.........
magar Aap kay dam say aaj Urdu ki wahi Sadi jaisay lagtaa hai laut aayi
ho....... yeh Ghazal is Daur ka shoara ki pahunch say bahut paray hai...... Sir.
ik mukammal philosophy Aap nay is mein jazb kar di hai ...Awesome..... Tabsiray
kay liye Qalam Aur roshnayi khatm honay ki si kaifiyat taari kar rakhi hai is
Ghazal mein Sir.....!
محترم
مسلم سلیم صاحب
آپ کی غزل کا
ہر شعر آپ کے
فن سخن کی
بڑی واضح دلیل اور سند ہے
تمام اشعار لائق ستائش ہیں
اور
مقطع نے تو گویا دل ہی موہ لیا
اللہ کرے ذوقِ سخن اور زیادہ
سلامت رہیں شاد و آباد رہیں
آپ کی غزل کا
ہر شعر آپ کے
فن سخن کی
بڑی واضح دلیل اور سند ہے
تمام اشعار لائق ستائش ہیں
اور
مقطع نے تو گویا دل ہی موہ لیا
اللہ کرے ذوقِ سخن اور زیادہ
سلامت رہیں شاد و آباد رہیں
Muslim bhai kiya
ustadana rang men ghazal likhi hai , , yeh andaz aur asloob men ustaad Zauq aur
Ghalib jhalak rahe hain , yeh aasan nahi bahut mushkkl safar hai bahut bahut
mubarak
MUSLIM
BHAI KIYA USTADANA RANG MEN GHAZAL KAHI HAI JAWAB NAHI YEH CLASSICKI RACHAO TO
SIRF ASATEZA E SUKHAN KA WIRSA HAI +IS GHAZAL NE TO AAP KO USTAAD Zauq o Ghalib
ke rang men rang di.
Mere
bhai is tarha ki ghazal kahna aasan nahi bahut mushkil hai. Plan kar ke bhi yeh
rang ikhtiyaar karna namumkin hai yeh sirf fitri shair hi kahesakta hai.
·
MUSHKIL ZAMIN MEIN
KIA ACHAY ASHAAR KAHAY HEIN AAP NAY...MA SHA ALLAH
·
TAKHLEEQ TO KHUD APNI
SANAD HOTI HAI MUSLIM
NAADAAN HAIN WO LOG JO ULJHAY HAIN SANAD MAIN
Wah bohat achy
NAADAAN HAIN WO LOG JO ULJHAY HAIN SANAD MAIN
Wah bohat achy
·
ek intehaayi peyaari
ghazal jis me fikr ki ala parwaaz ke saath Urdu ki BAQAA pe khusoosi dhyaan
diya gaya hai.
Isi bina pe ye ghuzal apne pairaahan hi nahi roohaani wasf men bhi kaamyaab
tareen hai
Tajammul Kazi
Wah..wah...bohat behtreen. ..
·
Aijaz Ahmad Azad Muslim
Saleem sb ap ashaar mein heeray jar daitay hein ghazal kai maqtay ka jawab
nahi, takhleeq ap jaisi kahan sai layein jab takhleeq hogi jab hi tau sanad
milaigi. Allah apko lambi umr dai aur hum sab apkay kalam sai mustafeez hotay
rahein
Chandni Pandey Bahut
khoob...Aadab..
Wah kia kalam hay aur
kia sach salam hay bhai salam
Tilakraj Paras wah wah kya
kahna bahut umda
Khoob surat kalaam,
Bahot umdah...
wah wah ,,kya kehne
bhot hi umda ashaar se saji aik ghazal.....salamat rahen sir
MASHA ALLAH MAQTA
LAJAWAB HAI.
·
Ye ishiq hai aur
ishiq teherta nahi hadd mein... Khubsurat khayal...
wah wah buhot khoob
kya kahne
Bahut Achhi Ghazal
Hai Wah Waaah Kiya Bat Hai
·
مسلم سلیم شاعرِ روشن ضمیر ہیں
اشعار سے ہے اُن کے عیاں عصری حسیت
اشعار سے ہے اُن کے عیاں عصری حسیت
·
تخلیق تو خود اپنی سند ہوتی ہے مسلم ۔۔ کیا کہنے ہیں ۔۔ سلا مت رہیں
waah kiya khoobsurat
qawaafi jorey hain.
nikhrey huey mazameen sey saji hue, chamakti hue aik behtareen ghazal. bohut cc dad
nikhrey huey mazameen sey saji hue, chamakti hue aik behtareen ghazal. bohut cc dad
Keya kehne khoob
·
Anuradha Arora Kamre
mein hawas ko to.......ye ishq hai...thehrta nahin had mein......Kya baat hai
Saleem Saheb....ik woh hi nahin shahar mein mujrim....bas ye hai ke vo aa gaya
ilzaam ki zad mein.......kye kehne.......Umdaaaaaa......
·
Anuradha Arora tehleeq
to khud apni sanad hoti hai.....nadaan hai jo ulajhte hain sanad
mein.......yaqeenan a very true statement in a poetry form........aur ghazal ka
matla...ke: LAY JAAN LAHOO JAB BHI KAMI PAO RASAD MAIN..........intehaai
selflessness jazba aur khoobsurat ashaar........kamaal hai .....Admirable...
MUSLIM SALEEM –
GHAZAL IN ROMAN SCRIPT
DARYA HAI RAWAAN KHOON KA MERAY QAAMAT-O-QAD MAIN
LAY JAAN LAHOO JAB BHI KAMI PAO RASAD MAIN
KAMRAY MAIN HAWAS KO TO CHHUPA SAKTAY HO LEKIN
YE ISHQ HAI AUR ISHQ THEHARTAA NAHEEN HAD MAIN
EK WO HI NAHEEN SHAHR MAIN MUJRIM TO BAHUT THAY
BAS YE HAI KAY WO AA GAYAA ILZAAM KI ZAD MAIN
KYA USNAY CHHUPAA RAKKHAA HAI HAMDARDI KAY PEECHHAY
BOO GUL KI TO HARGIZ NAHEEN GUL-POSH MADAD MAIN
SURKHI SAY DAMAKNAY LAGA ASHA’AR KA CHEHRA
KUCHH KHOON KIYA SARF JO IZHAAR KI MAD MAIN
TAKHLEEQ TO KHUD APNI SANAD HOTI HAI MUSLIM

No comments:
Post a Comment