Sunday, June 22, 2014

Poetic Compliments On Jashn e Muslim Saleem At Bhopal by Ahmad Ali Barqi Azmi (30th Dec 2012

by
jashn barqiBhopal meiN hai jashn jo Muslim Saleem ka

Hai Aiteraf un ke yeh kaar e azeem ka

Dehli meiN aa ke us ne khabr is ki mujh ko di

Ab arsh par dimaagh hai mauj e naseem ka

Rakhsh e qalam ke mere woh mahmez ban gaii

Woh kar rahi thi farz ada ek nadeem ka

Khamosh kyoN ho us ne kaha tum bhi kuchh likho

Kar lena zikr baad meiN daur e qadeem ka

Khidmatguzar e Urdu haii daur e jadeed meiN

Hai ilm kuchh to kaam karo ek aleem ka

MaiN ne kaha ki kaun use janta nahiN
Farzand e neknam hai wahid Saleem ka
“Khayyam e Nau” unhiN ki to vird e zabaaN hai aaj
Un par karam ho khuld meiN Rabb e Kareem ka
Bete pe baap ka hai asar kar raha hai jo
Hai dilnasheeN namoona yeh zauq e Saleem ka

No comments:

Post a Comment