muslim Saleem - 18 february 2019
yeh miray daur ki haqeeqat hai sach se kaanton ka haar milta hai
rehnuma sab yeh maan baithay hain jhoot se Iqtidaar milta hai
sachche aashiq ka har zamane mein bas yahi haal-e zaar milta hai
Qais farhaad ho ke raanjha ho pairhan taar taar milta hai
chhor day maikashi mahabbat kar dekh kya tujh ko yaar milta hai
aisi masti kahan hai bottle mein mein jo khumar milta hai
manzilon ki taweel raahon mein sabr ka khar=zaar milta hai
tuutati hain khizaan ki zanjeeren tab pPayam e bahar milta hai
Sarhad e ishhq se zara agay aik aabi mazaar milta hai
jisko koi uboor kar na sakay behr ik be kinar milta hai
be sabab aik dosray ke liye ab dilon main ghubar milta hai
shahr e ulfat jahan pe basta tha nafratoon ka dayaar milta hai
nafratoon ki kateeli jhaari par zehr phal bay-shumaar milta hai
roz-afzoon farogh par Muslim zulm ka kaarobar milta hai

No comments:
Post a Comment