Sunday, September 29, 2013

Muslim Saleem – ghazal Sept 29, 2013

ghazal ke log
WO DOOR KAY HON DIWAANE, KE HON QAREEB KE LOG
HAIN MADHA-KHWAAN USI PAIKAR-E-AJEEB KE LOG

HAIN KAARZAAR KAI AUR BHI ZAMANAANE MAIN

HILAAL HI SAY ULAJHTAY HAIN KYOON SALEEB KE LOG

SARON KI GINTI NAY AAKHIR KIYA USAY RUSWAA

AMEER-E-SHEHR PAY BHAARI PADAY GHAREEB KE LOG

JAHAAN MAIN DHOOM HAI JINKI YARAF NIGAAHI KI

DIKHAYEE KYOON NAHEEN DETAY UNHEN QAREEB KAY LOG

GUL-E-KHAMOOSH KA DETAA NAHEEN HAI SAATH KOI

HAIN SAARE HAASHIYA-BARDAAR ANDALEEB KE LOG

NAZAR BACHA KAY HAM USDILRUBA SAY MIL AAYE

GALI MAIN GHOOMTAY PHIRTAY RAHE RAQEEB KAY LOG

WATAN SAY AAJ CHALAA HOON YE SOCH KAR MUSLIM

KAHEEN TOMUJH KO MILENGAY MERAY NASEEB KE LOG

Tuesday, September 24, 2013

Naqshband Qamar Bhopali ki manzoom tareekh "Hammasa" par ek taairna nazar: Muslim Saleem

نقشبند قمرؔ نقوی بھوپالی کی مایۂِ ناز تخلیق حمّاسہ جلد اوّل پر ایک طائرانہ نظر۔ مسلمؔ سلیم
تبصرے سے پہلے میں ایک وضاحت کردو کہ نقشبند قمرؔ نقوی بھوپال میں تولد ضرور ہوئے لیکن پاکستان ہجرت کرگئے اور اب ٹلسا، یو۔اس۔اے میں سکونت پذیر ہیں۔ عجیب اتفاق ہے کہ وہ بھوپالی کہلا کر بھی اب بھوپالی نہیں ہیں جبکہ خادم بھوپال میں تولد نہ ہوکر بھی اب بھوپالی ہے۔ ایک اور اتفاق یہ ہے کہ منصب منزل جہاں نقشبند قمرؔ نقوی صاحب تولد ہوئے تھے میرے غریب خانے سے کچھ ہی فاصلے پر ہے اور میں دفتر آتے۔جاتے روز ادھر سے گذرتا ہوں۔ لیکن اس سے یہ عندیہ ہرگز نہیں لیا جائے کہ تبصرہ کا مقصد بھوپالیت یا ذاتی تعلقات سے ہے کیوں کہ میں آج تک نقشبند قمرؔ نقوی بھوپالی سے نہیں ملا ۔ان سے میری انٹرنیٹ ملاقات تب ہوئی جب میں نے ۳؍ برس پہلے کسی رسالے سے ان کی تصویر اور کلام لے کر اپنی ویب ڈائریکٹری ’’اردو پوئٹس انیڈ رائٹرز آف اردو ‘‘ میں شامل کرکے ان کو اس سے مطلع کیا تھا۔تب سے اب تک شاید کچھ ہی ای۔میل کا تبادلہ ہو ا ہوگا کہ اچانک ایک دن ان کی کتاب حماسہ کی پہلی جلد موصول ہوئی۔ میں نے اسکا مطالعہ کیا اور اس نتیجے پر پہنچا کہ اس کتاب سے قارئین کو رو شناس کراؤں۔

Friday, September 20, 2013

Poets' tribute to Muslim Saleem's parents


POETIC TRIBUTES TO MUSLIM SALEEM’S PARENTS BY DR. AHMAD ALI BARQI AZMI (DELHI), ZIA SHAHZAD SHAHZAD (KARACHI) AND NAZAKAT ALI AAZIM (CHICAGO, ILLINOIS) GRAPHICS COURTESY POET MOHD ALEEMULLAH KHAN WAQAAR (SAHARANPUR-INDIA)
************************************
MERA SHER IS TARAH HAI
JIN SAY HAY YE WUJOOD, ZABAAN HAI, KALAAM HAI
UN DO AZEEM ROOHON KO MERA SALAAM HAI
**********************************
Zia Shahzad Shahzad (Karachi)
مسلم سلیم میرا بھی پہنچے انہین سلام

۔ ۔ ۔ بیشک عظیم روحوں کا جنت ہی ہے مقام ۔

Muslim Saleem's tribute to parents

Sunday, September 15, 2013

MUSLIM SALEEM – POETIC TRIBUTES BY OTHER POETS (UPDATED TILL SEPT 15, 2013

DR. AHMAD ALI BARQI AZMI, NEW DELHI, INDIA
WAQT KIAAWAZ HAIN MUSLIM SALEEM
SHAAIR-E-MUMTAZHAIN MUSLIM SALEEM
JAAN-FAZAHAI UNKA MEYARI KALAAM
SAHIB-E-AIJAZHAIN MUSLIM SALEEM
http://urdunewsblog.wordpress.com/2013/05/31/waqt-ki-aawaz-hain-muslim-saleem-tribute-by-dr-barqi-azmi/

TANVEER PHOOL, NEW YORK, USA
NAGHMA-E-TAHNIYATHAI HAR LAB PAR
BHAI MUSLIMSALEEM DEEDAH-WAR

Thursday, September 12, 2013

Muslim Saleem ki ghazal par manzoom tabsire




Owais Jafrey sb., Washington, USA
فکر و فن، لہجہ، معانی، صوت و آہنگ کا کمال
مسلم، اِک شا عر بڑے ہیں اطّلا عاً عرض ہے
***************************************************************


 Ahmad Ali Barqi Azmi, Delhi
Rang e Muslim se numayaaN hai shaoor e fikr o fun
Woh sukhanwar ek bade haiN ittela'an arz hai 


رنگِ مسلم سے نمایاں ہے شعورِ فکر و فن وہ سخنور اک بڑے ہیں اطلاعاََ عرض ہے احمد علی برقی اعظمی 
 ********************************************************************************************
  Zia Shahzad Shahzad, Karachi, Pakistan
  • Zia Shahzad Shahzad , Karachi, Pakistan
     واہ واہ ! کیسی انوکھی ہے یہ مسلم کی ردیف
     ۔ ۔ ۔ ۔ شعر میں موتی جڑے ہیں اطلاعاً عرض ہے
     ۔ ۔ ۔ ۔اک نیا رنگ تغزل سیکھئے شہزاد آپ
     ۔ ۔ ۔ ۔ ہم سخنور کب بڑے ہیں اطلاعاً عرض ہے
     ۔( ضیا ۶ شہزاد )۔
*******************************************************************************************

Saud Siddiui sb, Karachi

کاش میں بھی شعر میں داد _سخن دیتا انہیں
رنگ مسلم کا الگ ہے ، اطلاعا" عرض ہے
سعود صدیقی

***************************************************************************************

  • شعر موتی سے جَڑے ہَیں اطلاعاً عرض ہے
    دریا کُوزے میں تَڑے ہیں اطلاعاً عرض ہے
    • Ahmad Ali Khan Kanpur, India
      JINKO DUNIYA JAANTI HAI ISM HAI "MUSLIM SALEEM",,,,,,, 
      ILM KE AFZAL DHADAY HAIN ITTILA'AN ARZ HAI,,,,,,!!!!!!!
      Awesome.......... Radeef par Zour-e-Qalam ka y Jadooo her Dil ko apna qaayl karne ke liye kaafi hai ..
      ++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++


      • Zia Roomani, Karnataka state, India  
        Shair umda aur baday hin ittla'an arz hai.
        Kheyal nashther sa lagey hai ittlaan
        arz hai.
      ***********************************************************
      JANNAT BI (KARACH-PAKISTAN)
      MERI ABJAD KAY TO SARY LAFZ GOONGAY HO GAY....
      PESH-E-MUSLIM CHUP KHADAY HAIN, ITTELA'AN ARZ HE..!
      *******************************************************
      MAJEED TAAJ BALOCH (BALOCHISTAN-PAKISTAN

      CHAHATAY THAY SARSARI PADH KAR GUZAR HI JAAYEN HAM
      PHIRI BHI DAM SAADAY KHADAY HAIN , ITTILA’AN ARZ HAI
      SHER KYA HAIN JAISE YEH URDU KE ZEWAR HAIN KOI
      HEERAT AYR  MOTI JADAY HAIN, N ITTILA’AN ARZ HAI
      *********************************** *********************
       
       
    OTHER AHAM NASRI TABSIRE


    • Aamir Riyaz, Kanpur, India
       ایسی ردیف تو آج تک استمعال ہی نہیں ہوئی...بہت عمدہ اشعار ہیں...لطف آ گیا پڑھ کر ....واہ
       واہ

 *************************************************************************


  • Sher Bahadur Akhtar, Datia  Madhya Pradesh, India
    AAP KI MAANIND CHALTAY THAY AKAD KAR JO KABHI...
    KHAAK MAIN WO SAB GADAY HAIN ITTILA’AN ARZ HAI
    KHEL BACHCHON KA NAHEEN HAI, ISHQ KA RASTA HAI YEH
    MARHALE SAARAY KADAY HAIN ITTILA’AN ARZ HAI
    GUDRIYON MAIN REH KE KHIDMAT KHALQ KI KARTAY HAIN JO
    WO SABHI INSAAN BADAY HAIN ITTILA’AN ARZ HAI
    BAARHA MUSLIM KIYA HAI HAM NAY KHOON-E-ARZOO
    KHUD SAY HAM AKSAR LADAY HAIN ITTILA’AN ARZ HAI
     
    ................waaaaaaaaah waaaaaaaaaaaah bahut khoob mohtram muslim saleem sahab,naye zaviye ke sath kiya andaze bayaan hai waaaaah waaaah bahut khoob.
     ***************************************************************************
    • Ahmad Ali Khan, Kanpur, India 
      Naayaab "Aamad".. .... Khidmat-e-Khalq ki Raah mein ik Munfarid Message Insaniyat ke Naam.......... GUDRIYON MAIN REH KE KHIDMAT KHALQ KI KARTAY HAIN JO
      WO SABHI INSAAN BADAY HAIN ITTILA’AN ARZ HAI

    • Ahmad Ali Khan Awesome.......... Radeef par Zour-e-Qalam ka y Jadooo her Dil ko apna qaayl karne ke liye kaafi hai ............JINKO DUNIYA JAANTI HAI ISM SE "MUSLIM SALEEM",,,,,,, ILM KE AFZAL DHADAY HAIN ITTILA'AN ARZ HAI,,,,,,!!!!!!!
    • Masroor Ahmed, Karachi, Pakistan
      NICE PRESENTATION OF YOUR THINKING.ACCHHEE NAHI BOHAT ACCHHEE LAGEE AAP KI YEH GHAZAL ITTELA AN ARAZ HAY
      **********************************************************************
      • MOHATRAM APNE BILKUL NAI RADEEF PESH KARKE GHAZAL KO EK NAYA RASTA DIKHAYA HAI KHUDA KARE APKI IS RADEEF SE AANE WALI NASL ISTAFADA HASIL KARE OR APKI RADEEF SARI DUNIYA MAIN MAQBULIYAT KI SANAD HASIL KARE AISI MERI DUA HAI .


Tuesday, September 10, 2013

Muslaim Saleem - tribute by Mohd Aleemullah Khan Waqaar


PARCHAM-E-URDU KO THAAME HAI KHADA MUSLIM SALEEM
BAA KHUA URDU ZABAAN PAR HAI FIDA MUSLIM SALEEM
KAISE NAA BHI SHUKRE KHUDA HAM BHI KAREN AB BE-SHUMAAR
FACEBOOK SAY YAAR URDU KO MILA MUSLIM SALEEM

Monday, September 9, 2013

NAZM URDU – MUSLIM SALEEM


urduHAR KASAUTI PAY KHARA UTRAY WO SONA URDU
KUCHH BHI KHO DENA MERAY YAAR NA KHONA URDU
TAAKE HAR LAFZ ZABAANON SAY MAHAKTA NIKLAY
APNI NASLON KAY GULISTAAN MAIN BONA URDU
ISHQ-E-GHALIB NAY KIYA JISKA HAI IQBAL BALAND
MEER-E-HAR NUTQ ZABAAN KYA HAI? KAHONA URDU
HOOM ATAL, NARGHA-E-DUSHMAN SAY NAHEEN GHABRAATA
KUCHH BHI HO JAYE, MERAY GHAR MAIN TO HONA URDU
NAUKRI APNI YEH MUSLIM NAY SAMAJH RAKKHI HAI
SAB KAY GULDASTA-E-HASTI MAIN PIRONA URDU
(KHAS TAUR SAY HINDUSTAN KAY TANAAZUR MAIN)

URDU AUR MUSLIM SALEEM BY ZIA SHAZAD SHAHZAD

Urdu zaban aur Muslim SaleemQUDRAT HAMESHA URDU PAY JO MEHRBAAN RAHI
PHOOLI PHALI, DILON PAY SADAA HUKMRAAN RAHI
 MUSLIM SALEEM JAISON KA SAARA HAI YEH KAMAAL
ZINDA HAR EK DAUR MAIN URDU ZABAN RAHI
 MUSLIM KA AUDHNA BHI BICHHAUNA BHI URDU HAI
MAHBOOBA UKI URDU RAHI, JAAN-E-JAAN RAHI
 KYA KYA NA DAUR GUZRE HAIN URDU ZABAAN PAR
LEKIN YEH SANBHLI GARCHE BAHUT NATAWAAN RAHI
 RAKH DEN KOI BHI NAAM MAGAR URDU, URDU HAI
BANDISH KAY BA-WUJOOD YE WIRD-E-ZABAAN RAHI
 GHALIB HAI ISHQ-E-URDU, HAI IQBAL BHI BALAND
MUSLIM KAY DAM SAY URDU JAWAAN, AASMAN RAHI
 SHAHZAD KAASH MAIN BHI MAHAK JAAOON MISL-E-GUL
URDU MERI ZABAAN, MERA GULSITAAN RAHI

Mohd Aleemullah Waqaar’s tribute to Muslim Saleem


Waqaar on Muslim Saleem

Saturday, September 7, 2013

Mushaira held at Dhar city, Muslim Saleem felicitated


I attended a mushaira at Dhar city in Madhya Pradesh on September 3, 2013 along with Iqbal Masood, Mrs Anita Mokati, Saleem Sabri, Tabassum Dharvi, Akram Saaqi, Nazar Dharvi, Shalabh Johi and others. It was organised by Allama Iqbal Literary Division of Madhya Pradesh Cultural Council. (The mushaira was preceded by a seminar on “Allama Iqbal, Unka Kalaam aur Zindagi) I am grateful to institution’s Director Prof. Tirubhuvan Nath Shukla for organasing such a successful seminar and mushaira commemorating immortal Allama Iqbal. Mr. Mumtaz Khan of the institution was the moving spirit behind the great event.
I was glad to see that Urdu is prospering in Dhar, which has small presence of Urdu knowing people. Here I will make a special mention of Mrs Anita Mukati, who has emerged as one of most popular Urdu poets at mushairas in India. (She is seen sitting next to me on the dais). Later, Anita told me that she has great “aamad”. When I asked her how she manages this when she is over-busy in her garment trade, her children informed me that she compose poetry anywhere anytime and that too with tarrannum.
I have made Anita Mukati in-charge of my Urdu directory for Dhar.
The mushaira was well attended. People stayed till end. I was called to recite ghazals in the end, which is great honour for me.
On way to Dhar, I stopped over Indore for one hour. Very graciously, Indore University Urdu Department’s Prof. Waseem Farhat Ansari came to meet me. Waseem Farhat Ansari sb, though young, commands much respect in Urdu world for his sharp and candid essays. I also met veteran poet Naseer Indori sb. My FB fan Meer Ishan Hussain had also come.
Muslim Saleem being honoured by Prof. Tirubhuvan Nath Shukla. Poetess Anita Mukati (sitting) and her daughter (standing) are also seen
Muslim Saleem being honoured by Prof. Tirubhuvan Nath Shukla. Poetess Anita Mukati (sitting) and her daughter (standing) are also seen

Ahmad Ali Khan’s poetic tributes on my Dhar visit


Meray karam farma janab Ahmad Ali Khan sb nay aaj meray liye kuchh ashaar share kiye hain. Mulahaza hon.AB DHAR*,,,,,,, KAARVA’N PAHUNCHA Guzashta dino yani 3 September – 2013 ko ” Dhar City ” mein ik Mushaire ka ehtamaam bela-tafreeq Mazhab-o-Millat maqaami hazraat ne kiya tha……. Es Mauqay par Hamare mulk ke mo’atbar-o-mumtaz Shayer Janab Muslim Saleem saheb ne apni shirkat se shair-o-sukhan ki Mehfil ko jo Raunaq bakhsha…… Wusi manzar ko apne zehn mein rakhkar Main unki shaan mein b-taur-e-Aqeedat cha’nd shair kehne ki jurr’at kar raha hoon…….. !
WO THAME PARCHAM-E-URDU KAHA’N- KAHA’N PAHUNCHA,,
UTHAA BHOPAL SE, AB DHAR*,,,,,,,,,,,, KAARVA’N PAHUNCHA,,
JO DEKHA DHOOP MEIN,,,,,,,,, PAUDA KOI JHULASTAY HUAY,,
TO BANKAY SAYA -E- SHAFQAT WO BAAGHBA’N PAHUNCHA,,
KAMAAL-E- HASTI HAI,,,,,,,,,, YA YE KASHISH KALAAM KI HAI,,
KE UNKI BAZM MEIN HER PEER -O- NAUJAWA’N PAHUNCHA,,
BALAND ITNA HUA HAI,,,,,,,,,,,,,,,,, QAD AAJ “ MUSLIM “ KAA,,
JAHAN NA PAHUNCHA THA KOI WO AB WAHA’N PAHUNCHA,,
DHAR* Madhya Pradesh ka Ek Mashhoor Shehr hai Jahaan 3 September, 2013 ko Halqa-e-Ahbaab-o-Adab se Janab Muslim Saleem saheb ko ik Yaadgaar Aizaz mila.
Ahmad_Ali_Khan_on_Dhar_mushaira gif

Zia Shahzad Shahzad’s poetic tribute to Muslim Saleem's Dhar visit


Zia Shahzad Shahzad Karachi main muqeem kohna mashq shair aur sahafi hain. Aap nay aaj meray liye kuchh ashaar share kiye hain. Mulahaza hon.
NAZR-E-MUSLIM SALEEM
MUSLIM SALEEM AAP KO KARTA HOON MAIN SALAAM
URDU KO AAP NAY KIYA MAQBOOL-E-KHAS-O-AAM
PARCHAM ZABAAN-E-URDU KA THAAME TO PAHUNCHAY DHAAR
HAR LAB PAY NAAM-E-URDU RAHA SUBH AUR SHAAM
ALLAH! AISAY LOGON KO UMR-E-KHIZAR ATAA
WO JIN KAY DAM SAY URDU NAY PAAYA UROOJ-O-BAAM
SHAHZAD AAJ URDU JO TAABINDA, ZINDAA HAI
“MUSLIM” SAY LOGON NAY HI DILAYA HAI YEH MAQAAM
Zia Shahzad's poetic comment on Dhar visit