WO DOOR KAY HON DIWAANE, KE HON QAREEB KE LOG
HAIN MADHA-KHWAAN USI PAIKAR-E-AJEEB KE LOG
HAIN KAARZAAR KAI AUR BHI ZAMANAANE MAIN
HILAAL HI SAY ULAJHTAY HAIN KYOON SALEEB KE LOG
SARON KI GINTI NAY AAKHIR KIYA USAY RUSWAA
AMEER-E-SHEHR PAY BHAARI PADAY GHAREEB KE LOG
JAHAAN MAIN DHOOM HAI JINKI YARAF NIGAAHI KI
DIKHAYEE KYOON NAHEEN DETAY UNHEN QAREEB KAY LOG
GUL-E-KHAMOOSH KA DETAA NAHEEN HAI SAATH KOI
HAIN SAARE HAASHIYA-BARDAAR ANDALEEB KE LOG
NAZAR BACHA KAY HAM USDILRUBA SAY MIL AAYE
GALI MAIN GHOOMTAY PHIRTAY RAHE RAQEEB KAY LOG
WATAN SAY AAJ CHALAA HOON YE SOCH KAR MUSLIM
KAHEEN TOMUJH KO MILENGAY MERAY NASEEB KE LOG
No comments:
Post a Comment