APNI KHOOBI NAHEEN, US KI KHOOBI THI SAB,
HAAN MAGAR HAM THAY RAAHI E RAAH E GHAZAL
MALKA E HUSN KI AISI TAREEF KI, SAB NE HAMKO
KAHA BADSHAH E GHAZAL
KAAM AAYA SUKHAN KA HUNAR, BAZM MAIN HAM BHI
THAY WO BHI THAY AUR KAI LOG THAY
GHAIR PAR RAAZ E ULFAT NAHEEN KHUL SAKAA, DIL
NE DIL SE KAHA SAB BARAAH E GHAZAL
ROZGAAR E JAHAN KE HAZAROM ALAM CHHEEN SAKTE NAHEEN MUJH SE MERA SUKUN
JANNAT E NAGHMA O TARB KAHIYE JISE,
HAI MIRE PAAS WO AISH-GAAH E GHAZAL
RAAG MAIN RANG MAIN ISHQ KI JANG MAIN, ZINDAGANI KA KOI BHI MAIDAN HO
PAST KAR DEN HAREEFON KE LASHKAR KO JO, MERE ALFAAZ HAIN WO SIPAH E GHAZAL
AISE DOOBE KHAYALON KI GEHRAI MAIN, TEH SE LE AAYE GAUHAR CHAMAKTE HUAY
IS KHARABI MAIN IK SARFARAZI BHI HAI, YUN TO HARCHAND HAM HAIN TABAAH E GHAZAL
No comments:
Post a Comment