Friday, August 2, 2013

GHAZAL - AUGUST 1, 2013 - MUSLIM SALEEM



TAB MAZA KUCHH AUR HI HOTA HAI MAKHMAL YAAD KA
SAR PE JAB SAAYA FIGAN HOTA HAI BADAL YAAD KA
JAAN-O-DIL MAIN JAB MAHAKUTHHTA HAI SANDAL YAAD KA
SO GHAMON KO DOOR KAR DETA HAI IK PAL YAAD KA
WAADI-O-DASHT-O-CHAMAN MAIN LE KE PHIRTE HAIN HAIN
RELA DEEWANI HAWAA KA, ZORE PAGAL YAAD KA
HO GAYE NAKAAM SAB DIL-BASTAGI KE MASHGHALE
SILSALAA THAMTAA NAHEEN USKI MUSALSAL YAAD KA
IK AJAB AALAM HAI MUSLIM KYA KAHEN, KIS SE KAHEN
DOOR TAK BUS HUM HI HUM HAIN AUR JANGAL YAAD KA



· 
· 
TAB MAZA KUCHH AUR HI HOTA HAI MAKHMAL YAAD KA
SAR PE JAB SAAYA FIGAN HOTA HAI BADAL YAAD KA...............ye malta marboot nahi hai..is ke baghair bhi kaam chal sakta tha....

JAAN-O-DIL MAIN JAB MAHAK UTHHTA HAI SANDAL YAAD KA
SO GHAMON KO DOOR KAR DETA HAI IK PAL YAAD KA.........................ye matla lajawab hai sahib....

WAADI-O-DASHT-O-CHAMAN MAIN LE KE PHIRTE HAIN HAMEN
RELA DEEWANI HAWAA KA, ZORE PAGAL YAAD KA.................. ...( le ke phirtey ki jagah (PHIRTA hai) to achcha tha....

HO GAYE NAKAAM SAB DIL-BASTAGI KE MASHGHALE
SILSALAA THAMTAA NAHEEN USKI MUSALSAL YAAD KA.....................bahut umda sher hai..

IK AJAB AALAM HAI MUSLIM KYA KAHEN, KIS SE KAHEN
DOOR TAK BUS HUM HI HUM HAIN AUR JANGAL YAAD KA..........ye wo rang hai jo ghazal ko jila ataa karta hai...zindabad! Muslim Saleem Sahib!

.
· 
Abbas Kazmi WAH. Bahut achha.

· 
· 
Ameer Hussain bout khob jinab Muslim Saleem sahib

· 
Haris Bilal Shaairi husn, pukhtagi aur qaari ki dilchapsi k sarey anaasir apny ander samaaey huey anokhey andaz mein aik shaandaar ghazal. Bohut khoob sir ji.

· 
Farhan Mirza kya kahene Janab Behtarin kalam
· 
Muhammad Ali Mokashi Bahot Umda Kalam...

· 
Roma Rizvi Door tak bas ham hi ham hein....aur jungle yaad ka...nice line ...


· 

· 
Feroze Natique Khusro KHOBSORAT ASHAAR

· 
Masroor Ahmed yad ko different rangon may khoob samoya hay.bohat hi khoob

· 
Faisal Nawaz HO GAYE NAKAAM SAB DIL-BASTAGI KE MASHGHALE
SILSALAA THAMTAA NAHEEN USKI MUSALSAL YAAD KA....MashaAllah ....wah wah be-hud khoobsoorat kalam hai Muslim Saleem sir

· 
Faisal Nawaz thank you sir ..........TAB MAZA KUCHH AUR HI HOTA HAI MAKHMAL YAAD KA
SAR PE JAB SAAYA FIGAN HOTA HAI BADAL YAAD KA.waaaaaaaaaaaaaaaah ........behtreen...........Lajwaab ustaad e mohtaram ,,makhmaleen yaad ko makhmal yaad keh kar khoob mushakhkhas kiya hai,,,ofcourse
The beloved memories are velvet – like which indeed give pleasure when clouds of memories hover over lover....zindaabaad........

· 
Faisal Nawaz HO GAYE NAKAAM SAB DIL-BASTAGI KE MASHGHALE

SILSALAA THAMTAA NAHEEN USKI MUSALSAL YAAD KA
outstanding again ......what poetic touch you provide to these couplets amazing thoghts and absolute gem .waaaaah


· 
Chandni Pandey Behad khoobsoorat Ghazal....shaandaar...

Aadab Sir...


· 

·
· 
Syed Husnain Yaden zindagi ka kitna bada sahara hain yeh agar na ho to phir badal bad e saba, aansu, sahera, gulshan, jharna, nadi , sahel, pipal ki chhaiyaan, mahtaab sab be- maani

· 
· 
Naye maah ki hai yeh taza ghazal
hai Muslim ki yadoN ki jo tarjumaaN

NumayaaN hai shair ka soz e durooN
Bahut dilnasheeN hai yeh husn e bayaan

· 
Kamil Janetvi's photo.

Waah waah! Bahut umda ghazal hai. Mubarakbad. Zindabad

· 
· 
Majeed Taj Baloch Bahut hì umda hay Ustaad e mohtarm
· 
Majeed Taj Baloch JAAN-O-DIL MAIN JAB
MAHAK UTHHTA HAI
SANDAL YAAD KA
SO GHAMON KO DOOR
KAR DETA HAI IK PAL YAAD KA

· 
· 
Tahir Ali masha allah gazab ka fun hai aap ke hathon me, ho gaye nakam sub dil.....waah Allah aap ko salamat rakhe , mai sochata hoon ki kaash mere sabhi dost aap hi ki tarah hote to kitna achha hota Saleem bhai apne chhote bhai ko mat bhoolana hamesha doa deta rahoonga insha Allah.

· 
· 
Mohammad Mahmood Ahmad ۔۔
مشکل قوافی اور ردیف کو اپنا ھمسفر بنا کر
شاعرنے بہت محنت اور ریاضت کے شعر عمدہ شعر کہے ھیں
ایسی غزلیات نمائیندہ غزلوں کے منصب پہ آتی ھیں

· 
· 
Ahmad Razaraja WAAH WAAH KHOOB AST BHAAI JIII

· 
· 
Qazi Malik Naved Bhopali Waah waah waah waah waah bahut khoob Laajawaab ghazal. ..
· 
· 
Alam Khursheed _____________
خوبصورت غزل !

· 
· 
Ashfaque Ahmed Siddiqui Khoob hai Ghazal. Khuda kare zore qalam aur zyada

· 
· 
Adnan Bin Zia waaah sir masha allah laaa jawaaa

· 
· 
Nasir Amrohvi Subhan Allah bohat bohat khoo

· 
· 
Ifrah Farheen Khan .Lajwab umda

· 
· 
Shahid Mehmood bohat khoob

· 
· 
Salahuddin Haque Abusarim Sarim dor tak bas ham hi ham hai,n aur jungle yaad ka....wah wah khoobsurat ghazal hai sir
·  
·  





Malka Afroze بہت خوبصورت غزل ہے اک پل کی یاد میں ،یاد کا جنگل آباد ہے

· 
· 

· 

  •  

Aamir R Zubery SILSILA THAMTA NAHIN USKI MUSALSAL YAAD KA.......KHOOOOB...
· 
Aamir R Zubery WAAH SIR WAAH....KIA KHOOB JANAB.......WAAH· 

· 
Aamir R Zubery Door Tak Bas Hum Hi Hum Hain Aur Jungle Yaa



· 
Saif Sid so niceeeee

· 
Saif Sid bht khoobsoorat andaz

Gulreza Naz likes this.
BOHAT KHOOOOOOB , ,,,,,, BOHAT KHOOOOOOB ,,, ,,,,,,,, BOHAT KHOOOOOOOB @@@@@@@@@@

2 comments:

  1. Azhar Iqbal WAHHHH BHUT KHOOBBB

    ReplyDelete



  2. Syed Muzaffarul Haque Yaaden hamesha insaan ke saath hoti hain..jo use jeena sikhati hain...Jo tajurbe ki surat me raaste k a diya banta hai to kabhi yeh yaaden..us maqaam pe le jaati hain jahan insaan khud bakhud muskurata hai..aur hansta hai...use logon ki zarurat nahin padti....yaaden wo sarmaya hain jo insaan ke qadam se qadam mila k use ek aise raaste ki janib le jaati hain jahan uske dost, uske saathi, aur bahut kuch......yaaden yaad aati hain...hardum....hamesha....




    Nini Muzaffar Bohut khoob je

    • 7 hours ago • Like


    Syed Tanwir Husain Bahot hi umdan ghazal hain masha allah ..

    ReplyDelete