Thursday, January 31, 2019

MUSLIM SALEEM - YE BAAT SACH HAI KE CHUBHTE SAWAAL POOCHTA HAI

MUSLIM SALEEM - 31 JANUARY 2019
YE BAAT SACH HAI KE CHUBHTE SAWAAL POOCHTA HAI
MAGAR WAHI HAI KE JO HAAL CHAAL POOCHTA HAI
KAHAAN GAYA TIRA AUJ E KAMAAL POOCHTA HAI
UROOJ E MAAZI SE TANZAN ZAWAAL POOCHTA HAI
SITAM ZAREEFI MIRE BHOLE BEWAFAA KI HAI
WO WAJH E HUZN HI WAJH E MALAAL POOCHTA HAI
HAM APNI MARZI KE MAALIK NAHEEN TOU KYUN
YAARAB
HISAAB E ZERO O BAM E MAAH O SAAL POOCHTA
KIYA THAA ISQHQ TOU IZHAAR KYUN NA KAR PAYE
YE BAAT HAM SE KISI KA KHAYAAL POOCHTA HAI
KIBAR-SINI MAIN SAWAALI SATAA NA MUSLIM KO
GAYE ZAMAANE KE SAB QEEL O QAAL POOCHTA HAI
KIBAR-SINI= OLD AGE
ZER O BAM = UTAAR CHADHAO
QEEL O QAAL = CONVERSATIONS (WITH BELOVED)

DO-RANGI DO-GHAZLA... JAB DEKHTE HAIN RUKH KISI TAZA GULAB KA

MUSLIM SALEEM - DO-RANGI DO-GHAZLA
JAB DEKHTE HAIN RUKH KISI TAZA GULAB KA
HAR IK WARAQ PALAT-TAY HAIN DIL KI KITAB KA
HAR SAKHS APNI FIKR KE BAAIS HAI MUZTARIB
AALAM KISE BATAAIYE AB IZTIRAAB KA
WO CHAHE HAATH AYE NA AYE YE KAM NAHEEN
MAANEN GE LOG LOHA MIRE INTIKHAAB KA
NAKAAMIYON SE AAP KO MIL JAYEGI NIJAAT
DAAMAN PAKAD KE CHALIYE KISI KAAMYAB KA
KADWI HAQEEQATEN HAIN MAGAR ZINDAGI TOU HAI
KAB TOOT JAYE KOI BHAROSA HAI KHWAAB KA
(2)
DEEDAR KAR LIYA HAI KISI MAAHTAB KA?
KYUN RANG PHEEKA PHEEKA HAI AAJ AFTAB KA
MASJID MAIN GOONJNE LAGI RINGTONE PHONE KI
KAAR E SAWAAB BAN GAYA MOOJIB AZAAB KA
IBLEES NE CHURAA LEEN MIRI SAB IBADATEN
SAJDE MAIN NAQSHA RAKH DIYA HOOR O SAWAAB KA
ACHCHI RAHEGI AAP SE CHEMISTRI MIRI
JUGHRAAFIYA HASEEN BAHUT HAI JANAAB KA
HADDE ADAB NAHEEN KOI BAAD E MUSHAIRA
CHALTA HAI KHOOB DAUR SHARAAB O SHABAAB KA

Muslim Saleem ... Aap Achchhe Shair hain dil Zara bada keeje

Muslim Saleem ... 30 January 2019
Aap Achchhe Shair hain dil Zara bada keeje
Doosron ke sheron par daad bhi diya keeje
Hamko deed kaafi hai, saamne raha keeje
Pass gar naheen aate door se mila keeje
Yaad josh o masti main ye muhawra keeje
Leeje aql ke nakhun hosh ki dawa keeje
Ye hai wajh e nakami ham samajh naheen paaye
Kis se dosti rakhiye aur kise khafa keeje
Farq kuchh naheen padta aap dil main rehte hain
Chahe rakhiye nazdeeki chahe fasla keeje
Kyoon Daren zamane se jabke aap Muslim hain
Lashkar e shayaaten ka dat ke saamna keeje

Saturday, January 26, 2019

Muslim Saleem ka kalaam Punj Radio USA se nashr


25 JANUARY 2019 KO AALAMI MUSHAIRE MAIN MUJHE SUNIYE ---RAAT 9.30 SE 10.30 TAM MUSHAIRE MAIN MUSLIM SALEEM KI SHIRKAT HUI. IS MEN MUSLIM SALEEM NE DO GHAZLEN PARHI JINKO DAAD O TAHSEEN SE NAWAZA GAYA. PROGRAMME 126 MULKON MAIN SUNA GAYAA.
KHAS TAUR SE ASHAAR
DEO QAMAT WO SHAJAR JAB TEZ AANDHI MAIN GIRA
PASTA QAD JITNE THAY PAUDAY SAB QADAWAR HO GAYR
AUR
WO DEKHNE MAIN AB BHI TANAAWAR DARAKHT HAI
HAALAANKE WAQT KHOD CHUKA HAI JADEN TAMAM
IS LINK PAR CLICK KAREN
www.punjradiousa.weebly.com

Wednesday, January 23, 2019

MUJHE AISE QATL KIYA NA KAR - MUSLIM SALEEM

MUSLIM SALEEM - 23 JANAURY 2019
MUJHE AISE QATL KIYA NA KAR
YA JUDA NA HO YA MILA NA KAR
KAI IS MAIN TERAY BHI RAAZ HAIN
MIRI KHAMUSHI PE HANSAA NA KAR
GHAM O DARD SEH LE KHUSHI KHUSHI
TU KHUSHI KE GHAM MAIN GHULA NA KAR
HAI YE ZARB ISHQ KI AAN PAR
MAIN BARHOON TOU MUJH SE BACHAA NA KAR
MAIN TUJHI MAIN GUM HOON TO AY SANAM
MIRA HAAL CHAAL PATAA NA KAR

Tuesday, January 22, 2019

Jab raat hui duniya taaron se bhi kheli hai: Muslim Saleem

MUSLIM SALEEM - 22 DECEMBER 2019
jab raat hui duniya taaron se bhi kheli hai
ab din ke ujale main suraj ki saheli hai
mehboob ki hasti bhi khushbu ki haveli
hai mongra mehka sa, bheeni si chameli hai
hai sab pe ayaan phir bhi unsuljhi paheli hai
us zaat se sab kuchh hai jo zaat akeli hai
bola yeh nujoomi ne ghayab hain lakeeren hi
kuchh is main naheen dikhta muflis ki hatheli hai
shatir hai bahut duniya, uska yeh wateera hai
masoom iradon aur jazbaat se kheli hai
bay-mehri zamaane ki, ruswai ke mausam main
yakh-basta hawa yeh bhi jidaari se jheli hai
ab tu hi bachhaa Maula Muslim ko zamane main
haalaat ne us par ik chattan dhakeli hai



Sunday, January 20, 2019

Tu jeet na paye gaa chaalaki ke pheron se - Muslim Saleem

Muslim Saleem - 20 January 2019
tu jeet nah paye gaa chaalaki ke pheron se
dushman se zara keh do lartay sheron se
yeh raat ke rasiya hain ulfat hai andheron se
shab-baash khilandron kw shikwa hai saweron se
ashaar ki doulat mushkil hai bacha paana
mehfooz nahi koi shuhrat ke luteron se
tadbeerye bohat kar len kuch kaam naheen aaya
nikla hai bhala koi taqdeer ke gheron se
is saanpon ki basti mein zinda bhi to rehna hai
kar Rakha hai yaraana hum ne bhi saperon se
waq'at naheen samjhain tou akhbaar, kitaaben kya
deewan bhi raddi main tul jatay hain seron se
rakhtay hain shama roshan yeh soch ke is dil mein
ik roz to hum muslim niklen ge andheron se

Friday, January 18, 2019

JAZBAAT MAIN MEMAARI KI TAREEKH BANAA DI .....MUSLIM SALEEM

MUSLIM SALEEM - 18 JANUARY 2019
JAZBAAT MAIN MEMAARI KI TAREEKH BANAA DI
SADMON PE TABASSUM KI PARAT HAM NE SAJAA DI
WO HUSN DIYA RAB NE USAY AISI ADAA DI
QALLASH THAY HAM DAO PE TAQDEER LAGAA DI
GARDAN KO JHUKAANE KI HAR IK RASM UTHAA DI
HAM NE AI ZAMAANE TIRI AUQAAT BATAA DI
AI DARD E MAHABBAT KOI INSAAF NAHEEN HAI
ANKHON NE KHATAA KI THI TOU KYUN DIL KA SAZAA DI
MAHBOOB NE IS TARHA MIRE DIL KO JALAAYA
MERI HI MIRAY SAAMNE TAHREER JALAA DI
MAANA KE ZAR O MAAL MAYASSAR NA KARAAYA
GHAZLON NE MIRE HAATH MAIN SHUHRAT TOU THAMAA DI
LAFZON KA MUSAWWIR HAI JISE KEHTE HAIN MUSLIM
ASHAAR MAIN JAZBAAT KI TASWEER BANAA DI



Thursday, January 17, 2019

TANHAA'I MAIN SHOR NA YUN DIN RAAT KARAY: Muslim Saleem

MUSLIM SALEEM - 17 JANUARY 2019
TANHAA'I MAIN SHOR NA YUN DIN RAAT KARAY
KHAMOSHI SE KEH DO DHEERE BAAT KARAY
YAAR HAI JO BHI CHAAHE MERE SAATH KARAY
CHHAHE SAATH NIBHA'E CHAAHE GHAAT KARAY
HAM HAIN CHIRAGH E RAAHGUZAR ALLAH QASAM
HAM SAY AANDHI AAKAR DO DO HAATH KARAY
BAY-AAHAT PHOOLON PE UTARTI HAI SHABNAM
RAB HAM PAR YUN RAHMAT KI BARSAAT KARAY
DIL HAI DIWAANA KYUN UMMEED LAGAATAY HO
JO BHI KARAY WO SAB HASB E HAALAAT KARAY

Wednesday, January 16, 2019

Yaden Aligarh ki : Muslim Saleem


علی گڑھ میری سانسوں میں بسا ہے علی گڑھ میرے منہ سے بولتا ہے
جہاں جسکے سبب محوِ ثنا ہے
مجھے وہ سب علی گڑھ سے ملا ہے
دل اپنا چھوڑ آ یا ہوں وہاں میں
وطن بھوپال بے شک ہو گیا ہے
وہ میرس روڈ ہو یا قاضی پاڑہ
یہ دل اب بھی انھیں کو ڈھونڈتا ہے
گلی کوچوں میں اسکے آنا جانا
وہاں چوبیس برسوں تک رہا ہے
جو ایم۔اے۔او سے اے۔ایم۔ یو ہوا ہے
وہ سیّد کاثوابِ جاریہ ہے
اسے کہتے ہیں مسلم یونی ورسٹی
یہاں سے علم کا دریابہا ہے
سٹی اسکول کا بھی ذکر کردوں
کہ جواک درسگاہِ بے بہا ہے
یہیں پہلی غزل میں نے کہی تھی
یہیں سے میرے فن کی ابتدا ہے
اک ایم۔اے۔یو برانچ اسکول بھی تھا
جو اب تعلیمِ ِ نسواں دے رہا ہے
مرے استاد تھے قیوم صاحب
انھیں سے علم کا تحفہ ملا ہے
چلو اب بات کرلیں کیمپس کی
علاقہ یہ بہت ہی پر فضا ہے
بہاریں آرٹس فیکلٹی کی مسلم
 انھیں سے باغِ جاں اب تک ہرا ہے

RADDI KI DUKKAN SE KYA KYA LE AYE: MUSLIM SALEEM

MUSLIM SALEEM - 16 JANUARY 2019
GHALIB MEER IQBAL AUR SAUDA LE AYE
RADDI KI DUKKAN SE KYA KYA LE AYE
MANTOO BEDI ISMAT KE AFSANE BHI
SHAMA BHI AUR JASOOSI DUNIYA LE AYE
MILE HAMEED, FAREEDI AUR IMRAN SE BHI
X-2, JULIA AUR THRESSA LE AYE
JO KUCHH RADDI SAMJHA AAJ KI NASLON NE
KAR KE USKO SAR SE OONCHA LE AYE
MUSLIM APNE DAUR SE HAMKO ULFAT HAI
LE KE KITABEN APNA ZAMANA LE AYE

Tuesday, January 15, 2019

AGAR HO AZM SHOLON KO BUJHA SAKTI HAI SHABNAM BHI: MUSLIM SALEEM

MUSLIM SALEEM - 15 JANUARY 2019
AGAR HO AZM SHOLON KO BUJHA SAKTI HAI SHABNAM BHI
QANAA'AT SAATH THI TOU KUCHH ZIYADA HI LAGAA KAM BHI
UMEEDEN BAANHEN PHAIALAAYE KHADI THEEN, DEED E JANNAT THI
UDHAR PARDE KE PEECHE MUNTAZIR THAA IK JAHANNAM BHI
GAYEE FASL E BAHARAAN AUR AAYA PAL JUDAAI KA
KHABAR KYA THI KE IN ANKHON MAIN HAI SAWAN KA MAUSAM BHI
TADAPTA DEKHNA MAQSAD HAI, JAAN LENA NAHEEN USKA
BACHAANE JAAN ZAKHMI KI LAGAATA HAI WO MARHAM BHI
HAIN APNE APNE KHADSHE APNE APNE KHAUF AI MUSLIM
PARESHAN DAUR E HAAZIR MAIN MIYAN HAIN AAP BHI HAM BHI

Friday, January 11, 2019

PEER NANHE MIAN'S KARAAMAT AND KHANKHAH, BHOPAL (by Muslim Saleem)

PEER NANHE MIAN'S KARAAMAT AND KHANKHAH, BHOPAL
(Written by Muslim Saleem ...Bhopal 11 January, 2019)
Khanqah Shareef Mujaddidi was founded by famous Muslim saint Hazrat Yaqub Mujaddidi alia Peer Nanhe Mian saheb (Khanqah is situated near Peer Gate). He was the most charismatic and famous saint of the family, whose Karaamat were talk of the town. It is said that one of his disciples (mureed) wanted to visit Ajmer Shareef for many years. But the saint did not allow him.

Wednesday, January 9, 2019

MUSLIM SALEEM - JAB BAY-HIJAB WO SAR E MEHFIL NIKAL PADAY

MUSLIM SALEEM - 9 JANUARY 2019
JAB BAY-HIJAB WO SAR E MEHFIL NIKAL PADAY
AANKHON KE RAASTE SE KAI DIL NIKAL PADAY
ITNA SUKOOT E BEHR E MAHABBAT HUA TAWEEL
MAUJON KO DHOONDHTE HUAY SAAHIL NIKAL PADAY
RAAHON SE BAY-KHABAR THAY MAGAR POOCH POOCH KAR
BAY-KAARWAN HI JAANIB E MANZIL NIKAL PADAY
MAAZI MAIN JINKE SAR THAY ZAMEEN SE LAGAY HUAY
HIMMAT DIKHAANE AAJ WO BUZDIL NIKAL PADAY
PHAILAYA WHATSUP NE KUCCH IS TARHA "ILM O FUN"
SAMJAHANE MAAHIREEN KO JAAHIL NIKAL PADAY

Monday, January 7, 2019

MUSLIM SALEEM - APNI KHOOBI NAHEEN, US KI KHOOBI THI SAB

MUSLIM SALEEM - 7 JANUARY 2019
APNI KHOOBI NAHEEN, US KI KHOOBI THI SAB,
HAAN MAGAR HAM THAY RAAHI E RAAH E GHAZAL
MALKA E HUSN KI AISI TAREEF KI, SAB NE HAMKO
KAHA BADSHAH E GHAZAL

KAAM AAYA SUKHAN KA HUNAR, BAZM MAIN HAM BHI
THAY WO BHI THAY AUR KAI LOG THAY
GHAIR PAR RAAZ E ULFAT NAHEEN KHUL SAKAA, DIL
NE DIL SE KAHA SAB BARAAH E GHAZAL

ROZGAAR E JAHAN KE HAZAROM ALAM CHHEEN SAKTE NAHEEN MUJH SE MERA SUKUN
JANNAT E NAGHMA O TARB KAHIYE JISE,
HAI MIRE PAAS WO AISH-GAAH E GHAZAL

RAAG MAIN RANG MAIN ISHQ KI JANG MAIN, ZINDAGANI KA KOI BHI MAIDAN HO
PAST KAR DEN HAREEFON KE LASHKAR KO JO, MERE ALFAAZ HAIN WO SIPAH E GHAZAL

AISE DOOBE KHAYALON KI GEHRAI MAIN, TEH SE LE AAYE GAUHAR CHAMAKTE HUAY
IS KHARABI MAIN IK SARFARAZI BHI HAI, YUN TO HARCHAND HAM HAIN TABAAH E GHAZAL