Thursday, January 31, 2019

DO-RANGI DO-GHAZLA... JAB DEKHTE HAIN RUKH KISI TAZA GULAB KA

MUSLIM SALEEM - DO-RANGI DO-GHAZLA
JAB DEKHTE HAIN RUKH KISI TAZA GULAB KA
HAR IK WARAQ PALAT-TAY HAIN DIL KI KITAB KA
HAR SAKHS APNI FIKR KE BAAIS HAI MUZTARIB
AALAM KISE BATAAIYE AB IZTIRAAB KA
WO CHAHE HAATH AYE NA AYE YE KAM NAHEEN
MAANEN GE LOG LOHA MIRE INTIKHAAB KA
NAKAAMIYON SE AAP KO MIL JAYEGI NIJAAT
DAAMAN PAKAD KE CHALIYE KISI KAAMYAB KA
KADWI HAQEEQATEN HAIN MAGAR ZINDAGI TOU HAI
KAB TOOT JAYE KOI BHAROSA HAI KHWAAB KA
(2)
DEEDAR KAR LIYA HAI KISI MAAHTAB KA?
KYUN RANG PHEEKA PHEEKA HAI AAJ AFTAB KA
MASJID MAIN GOONJNE LAGI RINGTONE PHONE KI
KAAR E SAWAAB BAN GAYA MOOJIB AZAAB KA
IBLEES NE CHURAA LEEN MIRI SAB IBADATEN
SAJDE MAIN NAQSHA RAKH DIYA HOOR O SAWAAB KA
ACHCHI RAHEGI AAP SE CHEMISTRI MIRI
JUGHRAAFIYA HASEEN BAHUT HAI JANAAB KA
HADDE ADAB NAHEEN KOI BAAD E MUSHAIRA
CHALTA HAI KHOOB DAUR SHARAAB O SHABAAB KA

No comments:

Post a Comment