Tuesday, May 22, 2018

MATLA JO AAJ KHWAB MAIN WARID HUA ....MUSLIM SALEEM - 22 APRIL 2018

MATLA JO AAJ KHWAB MAIN WARID HUA
"KAAM KOI AGAR NA KAR PAO
ACHCHI BAATEN HI BOLTAY JAO
IS SAY PEHLE BHI KHWAB MAIN EK DO GHAZLA, QATA AUR ASHAAR WARID HO CHUKE HAIN JINHEN MAIN FACEBOOK PAR SHARE KAR CHUKA HOON....MUSLIM SALEEM - 22 APRIL 2018

MUSLIM SALEEM - 21 MAY 2018 AASI HUN MAGAR PHIR BHI KHUDA KA HAI SAHARA

MUSLIM SALEEM - 21 MAY 2018AASI HUN MAGAR PHIR BHI KHUDA KA HAI SAHARA BHATKA JO KABHI TOU MUJHAY MANZIL IN PUKARA

Thursday, May 10, 2018

MUSLIM SALEEM FAATEH HO HAR KHUSHI KA, HAR EK GHAM KO JEET LAY

MUSLIM SALEEM
FAATEH HO HAR KHUSHI KA, HAR EK GHAM KO JEET LAY
GAR TUJH MAIN YE SIFAT HAI TO AALAM GHAM KO JEET LAY
LAA ETBAAR BAKHT KAY HAR KHAM GHAM KO JEET LAY
DIL GAR BADALTAY RANG KE MAUSAM GHAM KO JEET LAY
KYA ZIKR DOSTON KA, IK AALAM GHAM KO JEET LAY
SHEEREEN-DAHAN TO DUSHMAN-E-BARHAM GHAM KO JEET LAY
MAIDAN HAM NE CHHOD DIYA HAI KHULA HUA
HAM KHUD YE CHAHATAY HAIN KOI GHAM KO JEET LAY
RETHA HAI USKA GHAO TAR-O-TAAZA HAR GHADI
MUSLIM HAI YE WO ZAKHM JO MARHAM GHAM KO JEET LAY

Muslim Saleem...darban badaa ho jaata hai

Jab haziri dene pahunchen tou chalte hain us ke ishaare par
wuzaraa se wazir e azam ka darban badaa ho jaata hai

Wednesday, May 9, 2018

MUSLIM SALEEM – 18 MAY 2017 NA ADAM KI MAAN THI NA HAWWA KI MAAN THI

MUSLIM SALEEM – 18 MAY 2017
NA ADAM KI MAAN THI NA HAWWA KI MAAN THI
BATAYE KOI PHIR KE MAMTA KAHAAN THI
KARO SHUKR RAB KA KE MAAN KO BANAAYA
JAHAAN MAIN HAI HAR SAKHS AB MAAN KA JAAYA
USI KAY TAWASSUT SAY RAB KI ATAA HAI
KHUDA KI MAHABBAT KA WO AAINA HAI
YE NE’MAT MILI HAI HAMEN BHI TUMHEN BHI
YE SOCHO KE KYA USKI KUCHH QADR BHI KI?
CHARHE BAAM E SHUHRAT PAY ASHAAR KEH KAR
BHUNAYA HAI MAMTA KO YUN TUM NAY AKSAR

MUSLIM SALEEM – 19 May 2017 YUN MERI TISHNAGI KO TAMAASHA BANAA DIYA

ROZ SOCHTA HOON KE AB KUCCH DIN KUCCH NAHEEN KAHOONGA MAGAR........ DOSTO! YEH GHAZAL BHI BARDASHT KA LEN
MUSLIM SALEEM – 19 May 2017
YUN MERI TISHNAGI KO TAMAASHA BANAA DIYA
KAGHAZ PE US NAY MANZAR-E-DARYA BANAA DIYA
SURAJ KI KYAA MAJAAL THI, HAM HI THAY RAHMDIL
KHUD HAM NAY REGZAAR PAY SAAYA BANAA DIYA
JAZBON KI AANCH TEZ HUI, TEZ-TAR HUI
DEHKAA KAY HAM NAY SANG KO SHEESHA BANAA DIYA
DIKHTI HAIN SAAF JIS MAIN LAKEEREN NIFAAQ KI
MUSLIM HUKUMATON KA YE NAQSHA BANAA DIYAA
MUSLIM KA TALKH-GOI SE KUCCH WAASTA NA THAA
KUCHH HADISON NAY USKA YE LEHJA BANAA DIYA

MUSLIM SALEEM – 29 May 2017 KHARON BHARAY RASTAY KO KAMKHAAB DEGA

MUSLIM SALEEM – 29 May 2017
KHARON BHARAY RASTAY KO KAMKHAAB DEGA
ALLAH MUSABBIB HAI, ASBAAB BANAA DEGA
TERAY LIYE SAB DILKASH ALQAAB BANAA DEGA
TERAA YE HUNAR TUJKHO NAYAAB BANAA DEGA
YE NAGHMA ZAMANAY TO BETAAB BANAA DEGA
TUM SAAZ BANAO, WO MIZRAAB BANAA DEGA
HAI CHOR AGAR HAAKIM, KAGHAZ PAY REGISTER MAIN
SOOKHAY HUAY GADDHAY KO TAALAB BANAA DEGA
URDU MAIN HAI GAR DIQQAT MUSLIM SAY PARHO JAAKAR
LOO LAFZ HAI YAA LOVE HAI, E’RAAB BANAA DEGA

MEANING
KAMKHAAB: VELVET LIKE
MUSABBIB=CREATOR OF CAUSES
E’RAAB= URDU WOWELS LIKE ZABAR, ZER, PESH PUT TO CLARIFY SPELLINGS
MIZRAB: APPRATUS WITH WHICH STRING INSTRUMENTS LIKE SITAR, BANJO ETC ARE PLAYED

MUSLIM SALEEM – 30 May 30, 2017 WO SHOKH GUL-ANDAAM HAI, NAAZUK HAI BADAN BHI

MUSLIM SALEEM – 30 May 30, 2017
WO SHOKH GUL-ANDAAM HAI, NAAZUK HAI BADAN BHI
CHUBH JAATI HAI AKSAR USAY BISTAR KI SHIKHAN BHI
WO LAALA-O-GUL, SUMBULO-NARGIS BHI SAMAN BHI
WO JISM-E-CHAMAN, BOO-E-CHAMAN, ROOH-E-CHAMAN BHI
SEHRA BHI MAHAK JAATAY HAIN, KHIL UTHATAY HAIN BAN BHI
TAKTA HAI USAY RASHK SAY KHUD BAAGH-E-ADAN BHI
AZADI KE EHSAAS PE TAARI HAI GHUTAN BHI
IS MOD PE AA PAHUNCHA HAI AB MERA WATAN BHI
ASHAAR MAIN MUSLIM KAY HAIN SABRANG NAZAARAY
CHASKA HAI ZABAAN KA BHI YAHAAN FIKR BHI FAN BHI

MUSLIM SALEEM ... NAAT E PAK RAB NAY JISKO AAKHRI PAIGHAMBAR TAI KAR LIYA

MUSLIM SALEEM ... NAAT E PAK
RAB NAY JISKO AAKHRI PAIGHAMBAR TAI KAR LIYA
US NAY KUCHH LAMHON MEIN BARSON KA SAFAR TAI KAR LIYA
US KE LAB KI JUMBISHON KO MOATBAR TAY KAR LIYA
US KE FRMOODAT ME N HOGA ASAR TAY KAR LIYA
NAAM USKA HAR SAHEEFAY MEIN BATAAYA IS TARAH
AALAMِ E INSANIYAT- KA MUNTAZAR TAY KAR LIYA
WOH IMARAT JIS SE THI USKO MUHABBAT BEPANAH
US IMARAT KO KHUDA NE APNA GHAR TAY KAR LIYA
NOOR WOH JO BAAIS E TAKHLEEQ E DO AALAM HUA
CHAND NAADANON NE US KO HI BASHAR TAY KAR LIYA
AAKHRI KHWAHISH JAHAN WALON SE JAB POOCHI GAYI
SAB NE JANNAT AUR ME N NE UN KA DAR TAY KAR LIYA
KYOON NAH AB USKAY SUKHAN KI DAAD DAY SAARA JAHAN
MIDHAT E SURWAR KO MUSLIM NE HUNAR TAY KAR LIYA

MUSLIM SALEEM – 11 JUNE 2017 AADMEEYAT BAHUT KARAAHI HAI

MUSLIM SALEEM – 11 JUNE 2017
AADMEEYAT BAHUT KARAAHI HAI
KAISA YE DAUR YAA ILAAHI HAI
....................QATA………………………..
JURM HAIN SAARAY APNAY KHAATAY MAIN
UNKE HISSAY MAIN BEGUNAAHI HAI
AMN KI BAAT KAR RAHAY HAIN WO
JIN KAY BAAIS YE SAB TABAAHI HAI
……………………………………………
IK ZARAA BAKHT KO CHAMKNAY DO
DEKHNA PHIR KAHAAN SIYAAHI HAI
JEET RAKKHA HAI JIS NAY EK JAHAAN
DIL WO HAARA HUA SIPAHI HAI
KUCCH NAHEEN RAAZ-E-AZMAT-E-MUSLIM
YE TOU DUNIYA KI KHUSH-NIGAAHI Abdul Hai

MUSLIM SALEEM – 14 JUNE 2017 - JOD-GHATAANA PYAAR NAHEEN HAI

MUSLIM SALEEM – 14 JUNE 2017
JOR-GHATAANA PYAAR NAHEEN HAI
JEEVAN DO DO CHAR NAHEEN HAI
APNON PAR TOU WAR HAI LEKIN
DUSHMAN PAR YALGHAR NAHEEN HAI
PURKHON KI TALWAR HAI GHAR MAIN
LEKIN US PAR DHAR NAHEEN HAI
KAAT HAI ISKI AUR ZIYADA
YEH HAI QALAM, TALWAR NAHEEN HAI
NAKHUN, BAAL PE KAB HAI QAABU
INSAAN KHUD MUHTAR NAHEEN HAI
IS MAIN SUKUN HAI IS MAIN WAFA HAI
YE GHAR HAI BAZAR NAHEEN HAI
KAARGAH-E-QUDRAT MAIN MUSLIM
KOI BHI SHAI BEKAAR NAHEEN HAI

MAHNAMA “SHAIR” (MUMBAI) KA MUSLIM SALEEM KI ZINDAGI AUR FAN PAR KHUSOOSI SHUMARA


see entire issue on
http://www.khojkhabarnews.com/?p=60449
MAHNAMA “SHAIR” (MUMBAI) KA MUSLIM SALEEM KI ZINDAGI AUR FAN PAR KHUSOOSI SHUMARA SHAYA HO GAYA HAI JO TAZAA TAREEN SHUMARA HAI.
COMMENT BY Azizuddin Khizri SB, KARACHI
Azizuddin Khizri
مُسلم سلیم صاحب ، اِس میں شک نہیں ، دورِ حاضر کے مُنفرد الطرز شاعر اور ادیب ہیں ۔ شاعری میں آپ کا اسلوب سب سے جُدا مگر اردو غزل کی روایات کو برقرار رکھتے ہوئے ہے ، پَر اِن کی غزل محض عارض و گیسو میں اُلجھی ہوئی نہیں ہوتی ، دورِ حاضر کے چُبھتے ہوئے مسائل کا احاطہ کرتی بھی نظر آتی ہے ، نیز اِن کے اشعار میں مُخلصانہ اصلاحِ احوال کی خاطر طنز بھی ہوتا ہے ۔
اپنی صحافتی ذمہ داریاں بھی نہایت دیانتداری کے ساتھ بے لاگ انداز میں کرتے ہیں ۔ یہ اشاعت بھلے ، جائز طور پر اُن کے لئے ایک اعزاز ہو مگر میں تو اِسے ایک ادبی ضرورت و خدمت تصور کرتا ہوں ۔ جس نے اِس جہانِ فانی میں سانسیں لیں ، الله مُسلم صاحب کی عمر دراز کر ے ، ایک دن جانا ہے ۔ کیسے کیسے نابغہ گزر گئے ، اُن کے بارے میں ہمیں آج جو کچھ معلوم ہے ایسی ہی تحریروں کی بدولت معلوم ہے ۔
مسلم سلیم صاحب کی شخصیت اور اُن کے فن کو آنے والی نسلُوں کے لئے محفوظ کر کے ” ماہانہ شعر ، ممبئی ” نے ایک مُستحن کام کیا ہے ۔ میں مُسلم سلیم کے ساتھ ماہ نامے کے مُنتظمیں کو مبارکباد پیش کرتا اور مسلم سلیم کے لئے بھر پُور توانائیوں کے ساتھ درازئیِ عمر کی دعا کرتا ہوں


Muslim Saleem --IK CHHALAKTA HUA SAGHAR MIRI ANKHON MAIN RAHA

MUSLIM SALEEM - 13 JULY 2017
IK CHHALAKTA HUA SAGHAR MIRI ANKHON MAIN RAHA
UMR BHAR BAS TIRA MANZAR MIRI ANKHON MAIN RAHA
THAA KOI AISAA JISAY BHOOLNA MUMKIN HI NA THAA
HO KAY OJHAL BHI BARABAR MIRI ANKHON MAIN RAHA
ZABT E GHAM AISA KAY IK BOOND BHI CHHALKI NA KABHI
YUN TO KEHNE KO SAMANDAR MIRI ANKHON MAIN RAHA
JAAGNAY SONAY MAIN KUCHH FARQ HI BAQI NA BACHA
RAAT DIN KHWAAB KA PAIKAR MIRI ANKHON MAIN RAHA
JITNAY WAQFAY WO RAHA SAAMNAY MERAY MUSLIM
UTNAY WAQFAY DIL E MUZTAR MIRI ANKHON MAIN RAHA