Wednesday, February 20, 2019

مسلم سلیم پر تحقیقی مقالہ یونی ورسٹی میں پیش

 Muslim Saleem par tehqeeqi maqalah university mein paish
Bhopal,February 8, 2019 : bain ul aqwami shayar aur urdu web directories ke khaaliq muslim Saleem par tehqeeqi maqalah GC university, Lahore mein pesh kar diya gaya hai. Professor Aisha Saleem ki zair-e nigrani ”Muslim Saleem ke majmoo’e aamad aamad ka taziyati mutala’a“ unwan se yeh tahqeeqi aur tjzyati maqalah research scholar mohtarma Iqra Riasat ne murattab kiya hai. Maqalah ko 4 abwab par munqasim kiya gaya hai jin mein 1. Halaat e zindagi 2. 1947 ke baad shairi ki rivayet 3. Muslim Saleem ke majmoo’e aamad aamad ka fikri mutalea aur 4. muslim Saleem ke majmoo’e aamad aamad fanni mutalea shaamil hain .
paish lafz mein research scholar iqra riasat ne bataya ke unhon ne muslim Saleem ka intikhab internet par maujood unkay aala kalaam aur karnamon ke mad e nazar kya jabkay woh muslim Saleem se zaati tor par nawaqif theen. is mein nigaran professor aisha Saleem neh ahem rahnumani farmai. askalr neh likha hai ke muslim Saleem internet ke zareya duniya ke mukhtalif hisson mein aik bakmal shayar ke tor par pehchane ja rahay hain. jahan taq muslim Saleem ki fikri upaj ka talluq hai to un ke yahan tamam tar shoba haae zindagi ko mauzo banaya gaya hai. mohabbat, gham, hasrat o umeed, kaayenaat ke masail se leker jadeed daur aur is mein honay wali scienci eejadat aur jadeed tiknoloji ka barri chaabak dasti aur khoubsurti se bayan kya gaya hai. isi terhan fani aitbaar se bhi yeh majmoa aala sheri miyaar ka haamil hai .
reserch askalr ke mutabiq muslim ki shairi mein maghribi mufakreen aur shair o sukhan ke mutalea ki jhalak numaya hai. alfaaz o trakib, roz marrah, mahawraat, qafia aur دیف ka Bar mehal istemaal ghazal mein shayar ke aala fankar honay ki Daleel hai. un ke paas susti jazbatiat ke le y koi jagah nahi hai. scholar ke mutabiq is tehqeeqi maqalay ka maqsad duniya ke munfarid shayar muslim saleem ki kawishon ka manzar aam par lana hai taakay mustaqbil qareeb mein adab ke taalib ilm is se istifada kar saken .

بھوپال: بین الاقوامی شاعر اور اردو ویب ڈاریکٹریز کے خالق مسلم سلیم پر تحقیقی مقالہ جی۔سی۔ یونی ورسٹی، لاہور میں میںپیش کر دیا گیا ہے۔پروفیسر عائشہ سلیم کی زیرِ نگرانی ”مسلم سلیم کے محموعہ آمد آمد کاتجزیاتی مطالعہ“ عنوان سے یہ تخقیقی اور تجزیاتی مقالہ ریسرچ اسکالر محترمہ اقرا ریاست نے مرتب کیا ہے۔مقالہ کو۴ ابواب پر منقسم کیا گیا ہے جن میں ۱۔حالاتِ زندگی۲۔1947 کے بعد شاعری کی روایت ۳ مسلم سلیم کے محموعہ آمد آمد کافکری مطالعہ اور ۴ مسلم سلیم کے محموعہ آمد آمد کافنّی مطالعہ شامل ہیں۔
پیش لفظ میں ریسرچ اسکالر اقرا ریاست نے بتایا کہ انھوں نے مسلم سلیم کا انتخاب انٹرنیٹ پر موجود انکے اعلی کلام اور کارناموں کے مدنظر کیا جبکہ وہ مسلم سلیم سے ذاتی طور پر ناواقف تھیں۔اس میں نگراں پروفیسر عائشہ سلیم نے اہم رہمنائی فرمائی۔اسکالر نے لکھا ہے کہ مسلم سلیم انٹرنیٹ کے ذریعہ دنیا کے مختلف حصوں میں ایک باکمال شاعر کے طور پر پہچانے جا رہے ہیں۔جہاں تک مسلم سلیم کی فکری اپج کا تعلق ہے تو ان کے یہاں تمام تر شعبہ ہائے زندگی کو موضوع بنایا گیا ہے۔محبت، غم، حسرت و امید، کائنات کے مسائل سے لیکر جدید دور اور اس میں ہونے والی سائنسی ایجادات اور جدید ٹیکنولوجی کا بڑی چابک دستی اور خوبصورتی سے بیان کیا گیا ہے۔اسی طرح فنی اعتبار سے بھی یہ مجموعہ اعلی شعری معیار کا حامل ہے۔
ریسرچ اسکالر کے مطابق مسلم کی شاعری میں مغربی مفکرین اور شعر و سخن کے مطالعہ کی جھلک نمایاں ہے۔ الفاظ و تراکیب، روزمرہ، محاورات، قافیہ اور دیف کا بر محل استعمال غزل میں شاعر کے اعلیٰ فنکار ہونے کی دلیل ہے۔ ان کے پاس سستی جذباتیت کے لےے کوئی جگہ نہیں ہے۔اسکالر کے مطابق اس تحقیقی مقالے کا مقصددنیا کے منفرد شاعر مسلم سلم کی کاوشوں کا منظرِ عام پر لانا ہے تاکہ مستقبل قریب میں ادب کے طالب علم اس سے استفادہ کر سکیں

Tuesday, February 19, 2019

buzurg, video aur ear-phone - poem by Muslim Saleem

buzurg, video aur ear-phone
Shewa hai buzurgon ka ke bachchon se chhupa kar
woh video suntay hain ear-phone laga kar
kuch aur naheen, dekhte hain film purani
maazi ki jawani ke haseen khwab saja kar
bachchay to bade hotay hi begane hue hain
youtube se ab dosti karli hai daba kar
Naushad o Ravi, Nayyer o S.J. bhi hain haazir
Talat o Rafi , Asha, Lata mlitay hain aakar
woh daur sunehri tha nai nasal yeh sun le
fankar they woh aisay jo atay nahi ja kar
Yousuf hon Gurudutt hon, woh meena ke Madhu hon
le jatay hain jazbaat ki lehron mein baha kar
ab Jani o Mahmood ka milta nahi sani
GhamgeeN hoN agar hum to yeh jatay hain Hansaa kar
maddahon mein fankaron ke Muslim bhi hai shaamil
dataa hain woh naghmon ke to saame hai gadagar
.. .. .. .. .. .. .. .. .. .
Nayyer= o. p Nayyer, s. j. = Shankar jaikishan, Yusuf = dilip kumar, meena. meena kumari, madhu. madhubala, jani. Johney Walker, gadagar. bhikari

jhoot se Iqtidaar milta hai...muslim Saleem - 18 february 2019

muslim Saleem - 18 february 2019
yeh miray daur ki haqeeqat hai sach se kaanton ka haar milta hai
rehnuma sab yeh maan baithay hain jhoot se Iqtidaar milta hai
sachche aashiq ka har zamane mein bas yahi haal-e zaar milta hai
Qais farhaad ho ke raanjha ho pairhan taar taar milta hai
chhor day maikashi mahabbat kar dekh kya tujh ko yaar milta hai
aisi masti kahan hai bottle mein mein jo khumar milta hai
manzilon ki taweel raahon mein sabr ka khar=zaar milta hai
tuutati hain khizaan ki zanjeeren tab pPayam e bahar milta hai
Sarhad e ishhq se zara agay aik aabi mazaar milta hai
jisko koi uboor kar na sakay behr ik be kinar milta hai
be sabab aik dosray ke liye ab dilon main ghubar milta hai
shahr e ulfat jahan pe basta tha nafratoon ka dayaar milta hai
nafratoon ki kateeli jhaari par zehr phal bay-shumaar milta hai
roz-afzoon farogh par Muslim zulm ka kaarobar milta hai

Monday, February 11, 2019

MUSLIM SALEEM - KHALIPAN KA DARD

MUSLIM SALEEM - KHALIPAN KA DARD
NAA DAFTAR NA MEZ AUR NAAM KI TAKHTI HAI
MAIN HOON RETIRE AB YE MERI HASTI HAI
LOGON KO AB MUJH SE KOI KAAM NAHEEN
MERE PHONE KI GHANTI KAM HI BAJTI HAI

Saturday, February 9, 2019

Muslim Saleem par tehqeeqi maqalah university mein paish

Bhopal,February 8, 2019 : bain ul aqwami shayar aur urdu web directories ke khaaliq muslim Saleem par tehqeeqi maqalah GC university, Lahore mein pesh kar diya gaya hai. Professor Aisha Saleem ki zair-e nigrani ”Muslim Saleem ke majmoo’e aamad aamad ka taziyati mutala’a“ unwan se yeh tahqeeqi aur tjzyati maqalah research scholar mohtarma Iqra Riasat ne murattab kiya hai. Maqalah ko 4 abwab par munqasim kiya gaya hai jin mein 1. Halaat e zindagi 2. 1947 ke baad shairi ki rivayet 3. Muslim Saleem ke majmoo’e aamad aamad ka fikri mutalea aur 4. muslim Saleem ke majmoo’e aamad aamad fanni mutalea shaamil hain .
paish lafz mein research scholar iqra riasat ne bataya ke unhon ne muslim Saleem ka intikhab internet par maujood unkay aala kalaam aur karnamon ke mad e nazar kya jabkay woh muslim Saleem se zaati tor par nawaqif theen. is mein nigaran professor aisha Saleem neh ahem rahnumani farmai. askalr neh likha hai ke muslim Saleem internet ke zareya duniya ke mukhtalif hisson mein aik bakmal shayar ke tor par pehchane ja rahay hain. jahan taq muslim Saleem ki fikri upaj ka talluq hai to un ke yahan tamam tar shoba haae zindagi ko mauzo banaya gaya hai. mohabbat, gham, hasrat o umeed, kaayenaat ke masail se leker jadeed daur aur is mein honay wali scienci eejadat aur jadeed tiknoloji ka barri chaabak dasti aur khoubsurti se bayan kya gaya hai. isi terhan fani aitbaar se bhi yeh majmoa aala sheri miyaar ka haamil hai .
reserch askalr ke mutabiq muslim ki shairi mein maghribi mufakreen aur shair o sukhan ke mutalea ki jhalak numaya hai. alfaaz o trakib, roz marrah, mahawraat, qafia aur دیف ka Bar mehal istemaal ghazal mein shayar ke aala fankar honay ki Daleel hai. un ke paas susti jazbatiat ke le y koi jagah nahi hai. scholar ke mutabiq is tehqeeqi maqalay ka maqsad duniya ke munfarid shayar muslim saleem ki kawishon ka manzar aam par lana hai taakay mustaqbil qareeb mein adab ke taalib ilm is se istifada kar saken .
مسلم سلیم پر تحقیقی مقالہ یونی ورسٹی میں پیش
بھوپال: بین الاقوامی شاعر اور اردو ویب ڈاریکٹریز کے خالق مسلم سلیم پر تحقیقی مقالہ جی۔سی۔ یونی ورسٹی، لاہور میں میںپیش کر دیا گیا ہے۔پروفیسر عائشہ سلیم کی زیرِ نگرانی ”مسلم سلیم کے محموعہ آمد آمد کاتجزیاتی مطالعہ“ عنوان سے یہ تخقیقی اور تجزیاتی مقالہ ریسرچ اسکالر محترمہ اقرا ریاست نے مرتب کیا ہے۔مقالہ کو۴ ابواب پر منقسم کیا گیا ہے جن میں ۱۔حالاتِ زندگی۲۔1947 کے بعد شاعری کی روایت ۳ مسلم سلیم کے محموعہ آمد آمد کافکری مطالعہ اور ۴ مسلم سلیم کے محموعہ آمد آمد کافنّی مطالعہ شامل ہیں۔
پیش لفظ میں ریسرچ اسکالر اقرا ریاست نے بتایا کہ انھوں نے مسلم سلیم کا انتخاب انٹرنیٹ پر موجود انکے اعلی کلام اور کارناموں کے مدنظر کیا جبکہ وہ مسلم سلیم سے ذاتی طور پر ناواقف تھیں۔اس میں نگراں پروفیسر عائشہ سلیم نے اہم رہمنائی فرمائی۔اسکالر نے لکھا ہے کہ مسلم سلیم انٹرنیٹ کے ذریعہ دنیا کے مختلف حصوں میں ایک باکمال شاعر کے طور پر پہچانے جا رہے ہیں۔جہاں تک مسلم سلیم کی فکری اپج کا تعلق ہے تو ان کے یہاں تمام تر شعبہ ہائے زندگی کو موضوع بنایا گیا ہے۔محبت، غم، حسرت و امید، کائنات کے مسائل سے لیکر جدید دور اور اس میں ہونے والی سائنسی ایجادات اور جدید ٹیکنولوجی کا بڑی چابک دستی اور خوبصورتی سے بیان کیا گیا ہے۔اسی طرح فنی اعتبار سے بھی یہ مجموعہ اعلی شعری معیار کا حامل ہے۔
ریسرچ اسکالر کے مطابق مسلم کی شاعری میں مغربی مفکرین اور شعر و سخن کے مطالعہ کی جھلک نمایاں ہے۔ الفاظ و تراکیب، روزمرہ، محاورات، قافیہ اور دیف کا بر محل استعمال غزل میں شاعر کے اعلیٰ فنکار ہونے کی دلیل ہے۔ ان کے پاس سستی جذباتیت کے لےے کوئی جگہ نہیں ہے۔اسکالر کے مطابق اس تحقیقی مقالے کا مقصددنیا کے منفرد شاعر مسلم سلم کی کاوشوں کا منظرِ عام پر لانا ہے تاکہ مستقبل قریب میں ادب کے طالب علم اس سے استفادہ کر سکیں۔

Friday, February 8, 2019

LIKHAA PHIR MITAAYA, MITAA KAR LIKHA PHIR - MUSLIM SALEEM

 MUSLIM SALEEM - 8 FEBRUARY 2019
LIKHAA PHIR MITAA KAR, MITAAYA LIKHA PHIR
TIRAA NAAM HI HO GAYAA MASHGHALA PHIR
DUA SE MILI SHAADMANI MAIN GHAAFIL
BHUGAT-TAY HAIN JAB, MAANGTE HAIN DUA PHIR
HAIN SAYYAD SAB BAUKHLAYE HUAY SE
CHAMAN MAIN MAHABBAT KA GHUNCHA KHILAA PHIR
MAHABBAT KE IZHAAR PAR US KA CHEHRA
BANAA PHOOL ANGAARA AISA HUA PHIR
YE 'PHIR' KITNI MUDDAT KO HOTA HAI MUSLIM?
KAHAA HAM NE MILNE KO US NE KAHAR PHIR

Sunday, February 3, 2019

DIN PHIR SE PALAT AAYEn APNE WO SUKOOn WAALE

MUSLIM SALAEEM - 3 FEBRUARY 2019
DIN PHIR SE PALAT AAYEn APNE WO SUKOOn WAALE
TU HAM PE KARAM KAR DAY AY KUN-FAYOOn WALE
KEHTE HAIn JUNOOn WAALE SUNTE HAIn JUNOOn WAALE
JEE-DAARI KI BAATEn HAIn QISSE HAIn YE KHOOn WAALE
"NAA" KEH KE JO DUKH JHELEn WO LOG BAHUT KAM HAIN
"HAAn" WAALE HAZAAROn HAIN AUR LAAKHOn HAIn "HOOn" WAALE
SUN KAR INHEN ZEHNOn MAIn SHOLE SE BHADAKTE HAIn
ASH'AAR HAMAARE HAIn YE SOZ E DUROOn WAALE
IMAAN PE ATAL HAIn JO HAR HAAL MAIn AY MUSLIM
INSAAN WO LAGTE HAIN KIRDAAR FUSOOn WAALE