Tuesday, February 19, 2019

buzurg, video aur ear-phone - poem by Muslim Saleem

buzurg, video aur ear-phone
Shewa hai buzurgon ka ke bachchon se chhupa kar
woh video suntay hain ear-phone laga kar
kuch aur naheen, dekhte hain film purani
maazi ki jawani ke haseen khwab saja kar
bachchay to bade hotay hi begane hue hain
youtube se ab dosti karli hai daba kar
Naushad o Ravi, Nayyer o S.J. bhi hain haazir
Talat o Rafi , Asha, Lata mlitay hain aakar
woh daur sunehri tha nai nasal yeh sun le
fankar they woh aisay jo atay nahi ja kar
Yousuf hon Gurudutt hon, woh meena ke Madhu hon
le jatay hain jazbaat ki lehron mein baha kar
ab Jani o Mahmood ka milta nahi sani
GhamgeeN hoN agar hum to yeh jatay hain Hansaa kar
maddahon mein fankaron ke Muslim bhi hai shaamil
dataa hain woh naghmon ke to saame hai gadagar
.. .. .. .. .. .. .. .. .. .
Nayyer= o. p Nayyer, s. j. = Shankar jaikishan, Yusuf = dilip kumar, meena. meena kumari, madhu. madhubala, jani. Johney Walker, gadagar. bhikari

No comments:

Post a Comment